THE GAME-is not over
Pakistan or issi jese kai aatanki desho ka sapna raha hai ki bharat ko kisi na kisi tarike se nuksaan pahuchayajaye magar har dam mukh ki khani padti hai. Tab aatanki log bahut acchi tarah se samajh chuke the ki bharat ko samne se yudth(war) karke harana unke bas ki baat nahi hai; bharat ko to chal se unki peeth per chura bhokkar hi jita ja sakta hai jo ki unki purani aadat hai; or peeth per chura bhokna unhe achhi tarah aata hai. Tab Pakistani or kai aatanki desho ki bethak hui or tay huwa ki wo sabhi pesa lagayege or apne saagirde ko bade-2 desho me ek khash prakar ki training ke liye bhejege or wo istarah bharat ko ek naye tareke se kai jagah hani pahuchayege. Magar wo kis tarah ki training ki baat kar rahe hai.
Jise training ke liye bhej rahe hai uska naam hai “fredi” keval dusre mulko ke liye. Pakistan me janma agent “fredi”. Sabse pahle use Pakistani khufiya camp me physical training di gai bahut kathor; kai-2 dino tak bhuke rahne ki. Or hathiyaaro ki ; har tarah ke, chaku se lekar bade-2 bombe tak ki traing, Fir hacking ki, taki fredi ko kisi bhi jankari ko pane me koi takleef na ho. Or ab jab ye saari training wo puri kar chukka hai tab use special training ke liye jaapan me bheja gaya; “fredi” naam or chahra badalne me maahir; jaapaan me usne training ki dusre naam or dusri pahchan ke jariye or kai mahino baad uski jaapaan me training puri hui kai mahino baad. Jaapan ki kisi badi company me videogame banane wali company—me work kar raha tha. Wo to mahaj game banana seekh raha hai. Baccho ke computer wale game. Or jaapan me training puri hone ke baad use china me bheja gaya taki wo latest technology ko samajh sake kyoki china har discovery ki copy bahut jaldi karta hai. Or waha ki fighting arts bhi seekh raha hai.
4 friend; friendship bahut achhi;bahut pakki; charo ki soch ek jesi—AMAN, PREM, BASANT OR AJAY. College khatam hone ke baad dost na bichade or royal life jiye or sammaan ki zingi jiye isliye charo (4) ne army join kar li. Kuch mahnati the to ek baar me test pass kar liya; to kisi ko kai baar mahnat karni padi; or thoda bahut source bhi kaam aagaya. Ab kya kare insaan ka dimaag bhi to ek jisa nahi hota; magar ek cheez common thi charo me; desh ke uper mar mitne ka junun,jasba tirange ke liye kuch kar gujarne ka or desh ke dusmano ko jahannum bhejne ka. Inho ne india ki sabse top lebel ki ranking wale jawano ka test pass kiya hai. Magar kisi ko ek attempt laga to kisi ko ek se jyada or istarah test pass karege to alag-2 to hona hi tha. Charo ko alag-2 jagah training point diye gaye. Magar kuch saalo baad hi charo ki joining hui sansad(parliament) ki surakshya ke liye magar kisi ki pahle to kisi ki baad me joining hui. Charo dost ek baar fir mile; jasan huwa magar ab charo ke kandho per jimmewari thi ek gambheer jimmewari. In charo ki jara college time ki baate ho jaye, ki ye janaab the kese.
AMAN—chahat to bahut rakhta tha; har sundar ladki ke liye magar iski kismat bahut kharaab thi; ye jis ladki per try karta ya to wo kisi ki girlfrnd nikalti ya fir new join hui koi teacher(faculties).
PREM—prem apne naam ki tarah tha,har jagah prem talaasta tha; har khubsurat cheez ki tareef kiye bina nahi rahta tha; or aaj kal ki ladkiyo ko yahi to chahiye tha. Isliye perm ke liye prem shabd ke maayne thoda hat kar the.
BASANT--- basant ki to advance bucking thi apne pita ke purane dost ki beti se; wo bahut sundar thi or basant ke liye pagal thi or basant usse shabhal kar hi rahta tha magar ye bhi janta tha ki jitna wo(priya) usse pyar karti hai shayad hi koi or karta hoga.basant ke pita(father) bahut bade business men the isliye unhone apne dost ko shadi ke liye jawaan di thi or basant ke college khatam hote hi dono ki shadi.
AJAY--- hamare ajay ko college me hi ek ladki pasand aagayi thi. Ajay shahab bahut guni the; sports me no.1; padhai me no.1, magar usse kahne me fisaddi. Kabhi dost kahte ki me kah du to ajay unhe rook deta ye kahkar ki me hi kahuga magar college ke time tak nahi bool paya or saayad usladki(pooja) ko bhi ye pata tha ki ajay usse pyar karta hai or wo jese ajay ke bolne ka intzaar kar rahi thi. Magar maalum nahi kya chamatkaar huwa ya fir dosto ne kaha jo bhi huwa ho aaj pooja ajay ke saath hai. Magar ajay ki zid thi ki shadi officer banne ke baad hi karege. Or ajay ab officer ban gaya tha isliye shadi ka shub mahurat nikala ja raha tha.
Basant ki to pahle hi shadi ho chuki thi or uske ek baccha bhi tha. Ajay ki shadi honi thi to ajay ne bhi basant ki tarah family quarter ke liye apply kar diya tha taki saadi ke turant baad setal ho sake or koi problem na ho.
Fredi saari training puri karke apne mulk loat aaya hai.Fredi ne game banaya hai khaas baccho ke liye or usse upload kar diya hai internet per; is game ki khasiyat ye hai ki aap isme suggestion de sakte hai ki kya-2 hona chahiye or 24hr baad aapko wahi sari chize milegi game ke andar. Ek game banaya hai fredi ne jo dikhne me taj hotel jesa hai or taj hotel me hamle ke baad ab waha ki security badha di gai hai. Is samay puri duniya me online game ki bharmaar hai or india me online game baccho ke beech teji se famous ho raha hai. Fredi ne jo game banaya hai usme sabse pahle apne aap ko register karna padta hai jese------ name, father name,mother name, ege, father occupation,mother occupation or apna photo bhi add kar sakte hai; or is game ko ek mission ki tarah dikhaya gaya hai. Is game me bahut se heroes hai taki bacche apne manpasand hero ko chun sake or mission ko pura kar sake. Is mission ko pura karne ke liye hero ke alawa hathiyaar selection bhi kar sakte hai.
Hotel taj ki baat ki jaye to bahut aalisaan bana hai. Jabse hamla huwa hai tab se isper or dhayaan diya gaya isliye isse or bahtar banaya gaya. Baccho ki baat kare to hotel me aane wale customer ke bacche online game khelte hai waha per lage har security gard ke bacche is online game ko khelte hai. Jo government security di gai hai unke bacche bhi or lagbhag har wo baccha jo internet se juda hai online game ko pasand karta hai. Ek aam customer jo kabhi taj hotel me aaya tha uske bacche ke doura bhara gaya data jo game ke suggestion me add ho aisa wo baccha chahta tha; bacche ka naam mikki or data---------------- parking me 12 camera; sidiyo per har ghumaav per camera or fir first flore; parking me char(4) gard; baseband me koi lift nahi. Ground flore per pahuchte hi samne reception; us counter ke bagal me do gard,agar men road se sidhe aaya jaye to gate per do(2) gard swagat ke liye, jast upper polish ki ek choki; kah sakte hai 25 logo ki ek bataliyan magar aisa kabhi-2 hi hota hai ki 25 log rahe kyoki kabhi na kabhi koi na koi chhutti per rahta hai.sabhi polish latest weapons(hathiyaro)se less or jo private security hai wo alag. Main gait per laga camera first flore me koi camera nahi,har flore per jane ke liye sidhiyo per camera or aamne saamne ke roomo ke beech ki gelary me camera; reception me security alarm, har flore ke liye chaar (4)gard. Itni jankari bhari gai mikki ke doura or use time diya gaya 24 hrs uski jankari ke anusaar game upload karne ke liye. Is game me jo jankari bhari gai jaruri nahi ki wahi aaye magar wo programmer ko sahi lagta hai to aisa hi hoga or usme kuch sudhaar bhi hoge jo keval programmer kar sakta hai. Taj hotel ka manager prakash or risepsnist monika kafi samay se is hotel ke liye kaam kar rahe hai. Dono sadi suda the. Prakash ki patni ek kushal grahani(house wife) hai or monika ke pati ka inport --export ka business hai chota sa isliye monika ke pati ko mahine me 15 din tak sahar ke bahar rahna padta hai. Tab monika ne hotel management cource ke antargat ye hotel join kiya. Monika ke do(2) bacche hai; 11 saal ka baccha or 7 saal ki bacchi dono ko monika pahle school chodti hai fir hotel aati hai fir break me baccho ko school se ghar per lati hai fir hotel aakar apni duty karti hai or saam ko har haal me ghar pahuch jati hai kyoki uske bacche uska intzaar jo karte hai. Prakash ke bhi ek baccha hai wo 13 saal ka hai or usse bhi computer ke online game ka chaska hai. Monika ke bacche bhi is online game ki chapet me hai, monika or prakash mahine ke kisi ek din apne family ko dinner per lekar aate hai, unke bacche bhi saath me aate hai. Monika ke pati saayad hi ek-do baar aaye ho apne busy programe ke chalte.waqut milta hai to dono hi apne baccho ko hotel le aate hai or unhe pura hotel ghumate hai wese bacche itne chote nahi hai ki we khud hi na ghum sake. Pura staff in baccho ko janta hai yaha tak ki hotel ke incharge ko bhi isse koi problem nahi thi or wo bhi in baccho se ghul mil gaye the. Baccho ki kabhi koi shikaayat nahi aayi thi is liye kisi ko bhi inse problem nahi thi. Idhar monika or prakash ke baccho ko pata pada ki koi “ mission hotel victor” naam ka game hai or wo lagbhag hotel taj jesa dikhta hai is liye monika ke bête “hani” ne apne aap ko game ke liye registor kiya or required data fillup kiya. Issi tarah prakahs ke 13 saal ke bacche “biru” ne bhi apne aap ko register kiya or kai important information fillup ki. Lagbhag 100 bacche aise the jo Mumbai ke the or jinke pita(father) ya fir family taj hotel se sambandh rakhte the un 100 logo ki list fredi ne bana rakhi hai or unke suggestion per goar kiya gaya or fir unhe jesa wo chahte the usse best information fill up karke unhe infome kiya gaya taki wo apna game khel sake. Biru ne reception me camera ki baat nahi ki thi magar biru ko bataya gaya ki camera kahi na kahi lage hoge or sayad hidden camera ka use kiya ho tab aap kese enter karege bina pakde or tab baccho ne idea nikle or sabke sajesion aane lage. Yahi information mikki ke liye bhi bheji gayi or hani ko bhi ab game puri tarah upload tha or mission me tha ki sari security ko maar kar aap ko isse bomb se udana hai. Is game me baccho ko khelne ke alaawa information bhi fillup karni thi ki wo kya kar raha ho or kya chahta hai. Mikki is game ko khel raha hai magar wo jese hi car park karta hai wese hi apni dress ke or latest hathiyaro ke kaaran pakda jata hai. Tab mikki ne information send ki; ki wo simple bhesh me jayega or hathiyaaro ko ek bag me rakhega taki wo camera se bach sake or rahi end me bomb se uddane ki baat to hotel me kai jagah timer bomb laga kar uda dega. car ko bhi bomb ki tarah istmaal kiya ja sakta hai, jo aakhri me is “hotel victor” ko uddane(blast) ke kaam aayega magar mikki is baar fir mara gaya (game me) kyoki ground flore me har ek insaan ki chacking hoti hai or saamaan ki bhi. Iddhar biru or hani ke saath bhi yahi problem ho rahi thi. Fir hani ne next day fir se khelna chalu kiya or information feed ki; ki wo sabse pahle camera ko destroy karega magar kese; ye kaam akele ka nahi tha is liye isme game ke undar unhe kisi halper ki jarurat thi or is tarah ki subidha bhi available hai. Uddhar biru ne ye socha ki camera yadi ek dam se kharab ho gaye to sabko pata pad jayega or fir security alert ho jayegi is liye camera bari-2 se kharab hote jayege matlab har flore ke camera 5 minit ke liye out ok working taki jo bhi log center me beth kar CD banate hai camera ke jariye, unlogo ko sak na ho matlab hi-tech tarike se enter hona padega. Hathiyaro ko direct na pahuchakar kisi or tarike se pahuchana padega jese ya to koi hotel ka member ho ya fir security se related ya fir ek different tarika----- hotel ka food product naami companiyo se hi aata hai or uski checking wahi per hoti hai saamaan lene jate waqut or aate waqut saamaan ki list manager ko de di jati hai or manager koi checking nahi karta.is tarah ya to company me hi hera feri karke in cartoon ke dabbo me hathiyaar rakhwa diye jaye ya fir raste me in dabbo ko badal diya jaye. Kuch is tarah ki information feed hoti chali gai fredi ke doura banaye gaye game me. yaha teyariya hone lagi ek bade hamle ki. 10 log chune gaye bahut hi khukhaar jinhone har training achhi tarah se li hai or jinhe sikhaya gaya hai nafarat karna sirf nafarat karna hindustaniyo se hindustaan se or har us sakshya se jo hindustaan me hai. Unhe bataya gaya hai ki wo sabhi kisi bhi majhab ke ho sab tumhare dusman hai.
Fredi khud unko trend kar raha hai saari information dekar or saatha me hai Pakistani khufiya agencies ke general; unhi ke saamne fredi un 10 logo ko information de raha hai is tarah se jese usse sab pata hai. Or information hai ek hotel me hamle ki. Fredi ne unhe bataya camera ke bare me, external security ke bare me jo 25 jwaan tenaat hai. lage huwe hai. Or unki location ke bare me. Or ye information mili hai fredi ko un 100 baccho se jo ya to hotel me aate hai ya fir unke parents ka un hotel se koi sambandh hai wo isliye taki saari information lagbhag sahi mil sake. Fredi ka ye mahaj sochna hai ki saayad aisi hai security hogi magar asal me kya hai ye fredi ko bhi nahi pata magar fredi unhe istarah bata raha hai jese yahi sahi hai. Saari information dene ke baad Pakistani general ne fredi ko bulaya or is operation ke bare me puchne laga; tab fredi ne bataya ki ye mahaj ek andaaja hai. Tab Pakistani general naaraaz huwa or kahne laga hum apne aadmi ase hi kisi mission ke liye marwa nahi sakte. Tab fredi ne bataya aap chinta na kare me khud us mission me rahuga or yadi success ho gaya to hum bharat ko hila kar rakh dege. Tab general ne puccha iske bacchne ka rasta tab fredi muskuraya janaab aap ye sab humper chod dijiye ye aap bhi jante hai or me bhi ki kisi bade maksad ko pura karne ke liye choti-2 kurbaniya deni padti hai samajh lijiye ye us bade maksad ki suruwaat hai or issi per nirbhar hoga hamara main mission aisa mission jiski fail hone ki bahut kam possibility hogi or hum apne dusmano ko hila kar rakh dege or dono hasne lagte hai. tab general kahte hai kya aisa nahi ho sakta hum apne main mission per concentration kare is per fredi kahta hai concentration to main mission per hi hai magar me koi risk nahi le sakta or fir mujhe aap ne jis training ke liye bheja tha uska istmaal karne ka sahi waqut aa gaya hai.Aakhir kya hai inka main misson or ye jo kisi hotel me hamle ki teyari kar rahe hai is hamle ka maksad kya hai. Fredi ne date fix ki, hum “20 may” ko hamla karege or katle aam macha dege or hotel ke saatve(7) male me jaakar logo ko bandhak banayege or apne pakde huwe saathiyo ko chudayege; india se bahut saara pesa magege or ek private plane bhi with piolate or fir apne logo ko lekar or bahut sara pesa lekar hum waapas aa jayege—koi sawaal; aawaaz aayi nahi, ha or hotel ko udaane ke liye saamaan tumhe do din pahle mil jayega. hotel ke ander aakar us car ko uda dena; jab tum log saatve(7) male me pahuch jawo to waha timer bomb laga dena taki waha laasho ke dher lag jaye. Fredi unhe hamla karne ki har technique bata raha tha ki kese karna hai; fredi un 10 logo ko sab bata raha tha or ab der thi to iski ki kab hamla ho. Fredi ke sabhi aatanki saathi hamla karne ke liye utawale ho rahe the. Saayad unka yahi maksad tha ki hotel me hamla karke bekasuro ko bandhak banana; katleaam karna or apne saathiyo ko chudana. Fredi ne un 10 logo ko bataya ki yadi wo mila ya fir koi msg dena hoga to code hoga “ game ko jeet lo”; or aaj ke baad hum is topic per jab bhi baat karege to sabse pahle ek dusre ko ye code batayege or ha hum kisi anjaan se is bare me baat nahi karege. fredi jate-jate apna kaam pura kar gaya tha or uske sathiyo ko pata tha ke aage kya karna hai. Fredi un logo se milne ke chance lagbhag khatam karke gaya tha or kah gaya tha ki milte hai mission pura hone ke baad. 10 logo ko hathiyaar se less karke Bangladesh ke raste se india bheja gaya or fredi chala gaya USA or is beech fredi or uske 10 sathiyo ke beech koi contact nahi huwa. Aisa aksar hota hai ki jo bhi is tarah ki plaining karta hai wo kuch samay ke liye bahar chala jata hai taki uska naam ho or wo police ki giraft se bahut door ho. Iddhar uske das(10) sathi badh rahe the apne naapak iraado ki taraf. Fredi sab setting kar ke gaya tha or un 10 logo ki madad kar rahe the apne hi desh ke kuch gaddaar log. Unke liye ek badi van taki sabhi log us per aasaani se beth sake sab plan ke mutabik ho raha tha. Fredi ke sabhi sathi 3 din pahle Mumbai pahuch chuke the ab unhe intzaar tha ek bag ka jisme kuch unka khass saamaan tha or ek din baad wo bhi mil gaya or usme us kimti saamaan ke alawa kuch rupya bhi tha Indian rupya. Usbeg ko dekh kar “usmaan” ki aakeh chamak gayi; usmaan in 10 logo me se ek or sabse tej, or 9 logo ka caption bhi. Usmaan ne wo beg “kaamraan” ko diya; kaamraan—bomb banane or difuse karne me expert. Kaamraan ne beg liya or fir us beg ko van me fit kar diya or usse ek switch se connect karke remort bana diya. Inlogo ko jo bhi cheez ki jarurat padti waha ke local jo unki madad ke liye fredi intzaam karke gaya tha pura kar dete the. Fredi ke instruction the ki usse koi call nahi karega wo hi sab se contact karega. Bag milte hi fredi ka phone aaya—bag mila jawaab me ha mila to fredi ne kaha jo rupya hai usme se aadha use dedo beg ki kimat or line disconnect ho gai. Bag me RDX hai; 30kg RDX, yadi itne RDX se dhamaka huwa to ek building puri udh jayegi or unhe us hotel ke bahar bahut bada dhamaka karna tha; Hotel me enter karne ke baad. “20 may” ke ek din pahle 19 may ko ek white coat me forenar room book karwata hai hotel TAJ 6 flore me.dikhne me simple or saath me girl frnd bhi forenar.
20 may ko subah 11 baje ek car teji se hotel TAJ ke parking me aayi ha vahi van or uske charo darwage teji se ek saath khule or utterte hi saath waha per tenaath 4 logo ko goli se bhoon diya goli ki aawaaz sunte hi saari security alert ho gai magar “usmaan” ne wo kiya jo ab tak ka sabse ghatak hamla banne wala tha. Usmaan ne ek rocket loncher nikala or parking me niche se hi police ki choki thi waha per rocket maar diya or ek bade dhamake ke saath sab aste-vayst ho gaya, log cheek-pukaar karne lage;badhawaas hokar yaha waha bhagne lage or yaha usmaan or uske saathiyo ne teji se hotel ke andar jane ke liye kadam badha diye. Magar jo rocket USMAAN ne mara tha ye uska reaction tha ki theek upper ke male se firing hui or usmaan ke do sathi wahi dher ho gaye. Usmaan ke aadmiyo ki taraf se bhi firing hui uddhar reception me kisi ne alarm baja diya taki hotel ki saari security alert ho jaye or pass ke police center ko khabar bhi ho jaye. Firing itni teji se ho rahi thi ki uski aawazo se pura ilaka saham uttha. Jese hi usmaan ke sathi hotel ke andar pahuche usmaan ne isara kiya kaamraan ko or kaamraan ne ek remote nikala or van ki taraf dikhate huwe ek batten dabaya or is baar rocket se bhi tej dhamaka huwa , hotel or aas-pass ki imarto(building) ke kaach chatak gaye or deewaro per darare aa gai magar tabhi dono taraf ki sidhiyo se lift se or main gait se 4-4 jawaan aaye or acchanak aate hi firing kar di. Usmaan ke saare sathi kisi ki aadh me nahi the atha dono taraf se firing hui or usmaan ko goli lag gai or uske chaar(4) sathi wahi dher ho gaye; kaamraan ne reception table ki aadh lekar ek hand granat feka or rasta saaf ho gaya baki unke saathi marne se pahle kuch hotel ki security gard ko maar chuke the. Kaamraan ne usmaan ko sahara diya tab usmaan bola ab hum char(4) bache hai tum jaldi se inke main center to udha do taki hamari location camera se koi na bata sake or me baki theen(3) ko lekar upper ke male me chalta hu. Kaamraan ne hami bhar di or akela hi center location ko udane chal diya magar tab tak hamari police choki ke jawaan waha pahuch gaye the; dono taraf se goliya chal rahi thi; thodi der ke liye goliya chalna band hui; kaamraan akela tah or isbaar wo police se ghira tha so video center ko uddana to muskil tha. Iddhar usmaan teji se lift ke sahare 7ve flore me pahucha magar is baar wo samne ka seen dekh kar dang rah gaya. 4 gard unka pahle se intzaar kar rahe the; gard ne unhe haath upper karne ko kaha. Usmaan ke saathi ek dusre ka muh dekhne lage or saayad soch rahe the ki hame bhahar ki security ke bare me to bataya gaya magar hotel ke andar ki security ke bare ne nahi bataya gaya. Tabhi ek jor se aawaaz aayi mene kaha haath upper karo warna haath kisi kaam ke nahi rahege. Iddhar kaamraan ko muth-bhed me goli lag gait thi; usne dekha ki ab uski mout nischit hai to usne ek hand granat video center ki taraf feka magar badle me kai goliyo ne uske sareer ko ched daala jo jawaan video center ki surakshya ke liye the unhone kaamraan ko to sula diya magar hand granate jo unki or mout ban kar aa raha tha or video center ko uddane aa raha tha uska unke pass koi tod nahi tha; hand granat jameen per girta ki tabhi ek jawaan ne usse hawa me hi pakad liya or apni goed me rakh kar dono hatho se jakad kar beth gaya or fir ek jor daar dhamaka huwa or us jawaan ke sareer ke tukde hawa me ter gaye saari dewaale uski bahaduri ki daastaan baya kar rahi thi or uske baki dost uski is bahaduri per fakra mahsus kar rahe the. Ase hi dharti maa ke lalo ke kaaran ye desh bacha huwa hai. Is dhamake ko sun kar sab kap gaye or iska faayda usmaan or uske saathiyo ne uthaya or theeno(3) ne un jawano ko dhakka dekar bhagne ki kosis ki or is, jawaab me jawano ne firing kar di, Usmaan or uske saathiyo ne ek room ki aadh le li magar itfaak se usroom me koi nahi tha or is harkat me usmaan ka ek sathi or mara gaya. Ab wo do bache huwe the. Dono taraf se firing chal rahi thi or firing me usmaan ke ek or sathi ko goli lag gai; is per usmaan bhoklagaya or usne kai hand granat ek ke baad ek us or uchaal diye jis taraf se firing ho rahi thi or dekhte hi dekhte waha malwe ka dher lag gaya tha. Ab usmaan ko dar lag raha tha ki uska koi sathi nahi bacha or wo akela hai. Usmaan ko fredi per gussa aa raha tha magar khud ko bachane ke liye use aage badhna tha isliye usne hotel ke room channe chalu kar diye or dekhte hi dekht usne das logo ko apne gan point per le liya. Ab sabhi camera me wo dikh raha tha. Usne ek aadmi ko pakda or sabko bandhne ko kaha or fir sab ko room ke becho beech galary me bitha kar kisi ek ke bomb laga diya or fir camera ki taraf dekh kar bola yadi insabko bachana chahte ho to meri kcuh maage hai unhe pura karna hoga or wo maage hai—mere kuch saathi jail me hai unki rihayi; 100 caroor rupye or yaha se surachit jane ke liye ek private plane or me in sab ke liye 12hr ki mahulat deta hu or ek baat jab tak ye maage puri nahi ho jati tab tak hotel ke is 7ve flore me koi na aaye nahi to anjaam---or fir usmaan ne ek aadmi ko goli maar di( ye sab usmaan camera ke saamne kah raha tha) or yadi is mahulat me ye sab nahi huwa to usmaan ne gan camera ki taraf dikhayi or ek goli camera me maar di taki ab koi bhi uski location or gatividhiyo ko na dekh sake. Itna kahne ke baad usmaan apne ghavo ko dekh raha tha goli keval uske kandhe ko chukar nikli thi. Usmaan ne ek ladies se pucha ye aadmi tumhara kon hai to wo boli pati hai usmaan muskuraya or bola jawo kisi bhi room se mere ghav me patti karne ka saamaan lao or jaldi aana warna me tumhe vidhuwa karne me der nahi lagauga or fir chillaya jaldi karo. Wo ladied teji se ek room me gai or pura box le aayi fir usmaan ke kahne per uske ghav ko saaf kar uski marhum patti ki. Jese hi usmaan patti karwa kar khada huwa usse ek siti ki aawaaz sunayi di. Wo choka or badh chala siti ki aawaaz ki ore or sabko santh rahne ke liye gun dikhakar chala gaya. Jese hi usmaan toilet ke pass pahucha to usse wo shabd sunayi diye jo is mission ki jaan hai “GAME KO JEET LO”. Acchanak ye shabd sun kar usmaan ki aakhe fail gai bhawe tan gai or jese he gate khola or bola bhai aap {{{{ ek goli uske sir ke theek bicho beech lagi or usmaan wahi dher ho gaya or saamne the wahi white coat wala forener jo 6ve flore me rah raha tha ye 7th flore me kya kar raha hai; fir wo white coat wala aadmi dhire se gaya or bandhako ke piche beth gaya sab dare huwe the is liye kisi ne dhyaan nahi diya usne apne pair or haath tape se chipka liye or santi se beth gaya . Waha per jitne bandhak the unhe kuch samajh me nahi aaya wo goli ki aawaaz se dar gaye the isliye 1hr tak koi bhi nahi hila. Ek Bandhak chillaya koi hai mujhe pyas lagi hai, me pani pina chahta hu, magar usmaan kese jawaab deta wo to allamiya ko pyare ho chuke the; thodi der baad bandhak fir chillaya magar koi jawaab na milne per wo khada ho gaya, uske haath or pair bandhe the, wo thewaal ke sahare aage badne laga or toilet ki diwaal ke pass pahuch kar jyada saavdhani ke chakkar me gir gaya or girte hi ghabda gaya magar agle hi pal uski aakhe khuli ki khuli rah gai kyoki wo aatankwaadi besudh hokar jameen me padha tha or uske pass se khun bah raha tha. Ye dekhte hi bandhak ne apne haath or pero ka tape khola or fir sab bandhako bata kar sabko aajaad kar diya. Sab bahut khush the ab sabhi ko samajh me aagaya tha ki wo goli ki aawaaz bematlab nahi thi magar jisne usmaan ko mara wo kon tha or chala kyo gaya, wo saamne kyo nahi aaya ye kaam to kisi hero se kam nahi lagta. Usne kai logo ki jaan bachayi hai, or Indian government ki sampatti ko bachaya hai. Saare bhandhak 7ve flore se niche uttere to dekha ki 6ve flore me bahut saari force hai. Jo intzaar kar rahi thi order ka or tatper thi masumo ki jaan bachane ke liye magar bandhako ko aata dekh kar khushi ki lahar dodh gai. Bandhako ne bataya ki kisi ne us aatankwadi ko maar diya magar uska koi pata nahi pada.jo log bach gaye the wo apne parijano ke gale mil rahe the waha ka maahol ek dam sentimental ho gaya wo forener bhi 6ve male me aakar apni girlfrnd ke gale lag gaya;dekhne walo ke ye sab normal lag raha tha; usse sahi salamat dekh kar uski girfrnd bhi ro rahi thi.Is baat ki khabar jese hi kamisnar ko mili usne turant hi force ko 7ve flore me jane ke odder de diye taki yadi koi gadbadi ho to use sahi kiya ja sake. Sabhi bandhako ke sahi salamat chutne ki khabar news channel me aa chuki thi or ye khabar aag ki tarah fail gai thi, ki kisi anjaan ne bandhako ko bachaya. Or sare aatanki ki laasho ko midiya ke samne show kiya ja raha tha, or unse japt wepons or bomb ko bhi. Sabhi channel us sakshya ka gun gaan kar rahe the jisne in bandhako ko bachaya or unhe maalum bhi nahi tha ki wo ladies hai ya gents. Idhar news channel apna-2 raag ga rahe the or uddhar TAJ hotel ke sare customer check out kar rahe the. Us white coat wale insaan ne check out kiya, sabki tarah wo apni girlfrnd ke saath chala gaya. Risepsnist ne check out karne walo se mafi magi; jo takleef unhe hui uske liye or future me best service dene ka wada kiya. Us white coat wale forener ne ek phone lagaya or ek lambi si important car uske saamne aakar ruki or dono us car me beth gaye. fir us forenar ne apna coat uttara fir apne aap ko sise me dekhkar apna getup utara or ye kya ye to fradi tha. Agar ye fradi hai to usne apne aadmi ko kyo mara is sawaal ka jawaab to keval fradi ke pass tha. Car air port per gai waha se fradi uttara or kuch pese or ek ticket apni girl frnd ko dekar chal pada USA ki flight ke liye. Magar wo is baar akela ja raha tha or uski girlfrnd ke pass kahi or ka ticket tha.
Idhar pakistaan me 25 may ko aatanki desho ki meeting ke doraan kuch alag hi situation thi. Sab is mission ke fail hone se naaraaz the; magar Fredi khush tha sabko lag raha tha Fredi apna USA trip khatam karke aaya hai isliye wo khush hai or wo insabhi ki paresaani nahi samajh raha. Magar Fredi ke dimaag me kuch or chal raha tha; fredi bola aap paresaan mat hoiye mission to ab suru hoga ye to mahaz ek khel tha jisme mujhe kuch chizo ka pata lagana tha so mene laga liya. Mujh per yakeen rakhiye me is baar jo karne wala hu isse india jab-2 is khof naak manjar ko yaad karega tab-2 wo khun ke aasu royega or hum tab koi bhi kaam kar sakte hai wo bhi aaraamse kyoki is baar koi dicision lene wala hi nahi rahega or hum aajaad hoge; ye kahte-2 Fredi ke tevar tikhe ho gaye. or aap sabhi ye mat sochiye ki mission khali gaya hamne is hamle se hindustaan ki jade hila di hai. Or hamara asli mission kal se suru ho raha hai.
Fredi ne kaam karna start kar diya magar wo to mahaz ek video game bana raha hai baccho wala game; is baar fredi ne ek building banayi hai jo lagbhag hindustaan ki sansad jesi hai or wo game upload kar diyagaya internet per. Uski surakshya ke liye bahut pakke intzaam kiye gaye hai; kai km pahle se is building ke sare raste ristructed kar diye gai hai koi bhi vaahan andar nahi aa sakta, car ya gadi tej nahi chala sakte or jagah-2 per check post or har check post per lagbhag 20 jawaan Indian bataliyan ke or sabhi latest hathiyaaro se less or har choki per ek rocket loncher bhi taki yadi koi vaahan chetavani dene per nahi rukta to use udane ke liye. Ye saare game 3dimensional hai. Or rule wahi hai ki pahle aap ko register hona padega saari information fillup karna padega “ HOTEL VICTOR ” game ki tarah. Or is baar bhi is game ko mission ki tarah dikhaya gaya or naam diya gaya ‘’ IMPOSIBLE FORT VICTORY “. Or dekhte hi dekhte kuch hi din me ye game famous ho gaya ab FREDI ko keval intzaar karna tha information milne ka magar is baar mission thoda alag tha kyoki hotel me koi bhi ja sakta hai is liye information aasani se mil gai magar is baar jo game fredi ne banaya hai usse saaf lagta hai ki Fradi hindustaan ke dil me base sansad(parliyament) ko nisaana banane ki soch raha hai. Ye sab Pakistani general dekh rahe the or muskura rahe the; fir wo Fredi se bole to yahi hai hamara mission or jawaab me Fradi ne ser hila diya. General bola fir dair kis baat ki hai to fredi bola information ki . ab general ki samajh me aa chukka tha ki fradi ne ye sab kyo kiya. Fir general bola to tumne meeting me kyo nahi bataya apna plan, Fredi bola taki kisi ko pata na pade; general ye dekh bahut khush huwe or bole to ab hame kya karna hai fir Fredi bola is baar mujhe mission ke liye 25 logo ki jarurat padegi isliye aap abhi se 25 logo ki special training suru kar dijiye. Or me yaha information collect karta hu.
Kuch bacche is game ko paar karne ki kosis kar rahe hai magar wo har baar naakaam ho rahe hai. Fir ek bacche ne kuch socha bacche ka naam “ VISHU” father name—R.K.RAY, occupation- security gard in sansad( parliyament), mother house wife. Vishu ne apne papa se pucha ki kya koi saamaan parliyament ke andar jata hai to uske pita bole ki bina checking ke koi saamaan nahi jata sabse pahle usse achhe se check karte hai kyoki yadi thodi si bhi gadbadi ho gai to country ko bahut nuksaan ho sakta hai. Tab vishu puchta hai kya kabhi track wagairah nahi jata kisi cheez ka to vishu ke papa kahte hai ha kabhi-2 food ka or water ka jata hai magar use bhi security se gujarna padta hai or saamaan pack karne se lekar yaha surakshit pahuchne tak use nigrani me rakha jata hai or isse pahile vishu koi or sawaal karta vishu ke papa uska matha chumte hai or good night kah dete hai. Agli subah vishu ne ek sajesion feed ki wo ye ki food ka truck jata hai or me usme chip jauga or sari security paar kar jauga fir me us truck ko udha duga bomb se or mission ko pura kar duga. Or ye saarin information pahuchi fredi ke pass or fredi ne reply kiya; truck ki jagah-2 checking hoti hai tum bach nahi sakte; tab vishu reply karta hai machine jo checking ke liye lagi hai wo hathiyaro(weapons) ke hone per aawaaz karti hai isliye me bina hathiyaro ke jauga or truck ko uddane ke baad unhi ke hathiyaro se is mission ko anjaam duga. Tab vishu jesa chahta tha use wesi suvidha de di gai, magar game me vishu jese hi security gate paar karke truck se utarta hai wese hi use goli se uda diya jata hai vishu kai baar try karta hai magar koi na koi use dekh hi leta hai.
Idhar fredi ek list dekh raha hai india ke pure chief ministero ki or sabhi important minister ki. Fredi un sab ki photo or background check kar raha hai. Kisi ek minister per jaakar uski nigaah tik gai or dekhte hi dekhte usne saari information nikaal li. Or apne khufiya logo se iske bare me jyada se jyada jaankari maagi. Fredi ki utsukta badti ja rahi thi kyoki wo us minister se milna chahta tha jiski information usne nikali thi. Minister ka naam PRAKASH TIWARI jin per kai baar corruption ka aarop lag chukka hai or jinke kai khate(account) bidesho me hai. Kai case un per chal rahe hai magar fesla kisi ka bhi nahi aaya. Fredi ne hindustaan me fele apne sathiyo se ek meeting fix karne ko kaha, DAVID BROUN or tiwari ji ki magar ye bhi kaha ki minister ko or kuch bhi na bataya jaye or yadi jyada puche to batana ki USA me DIVID ki shoes company hai or wo unki state me apni company ka showroom or mill kholne ke silsile me baat karna chahte hai. Magar ek sawaal sabhi ko paresaan kar raha hai wo ye ki kon hai ye DAVID jisse Fredi is minister ko milwane ke liye utawla hai or ye shoes company ka kya mazra hai. Aakhir kya chal raha hai Fredi ke dimaag me? Kisi ko kuch samaj me nahi aa raha tha magar usse jesa kaha gaya unhone wesa hi kiya.
Kuch dino baad india me Ek sakshya jiske pass USA ka green card hai broun coat pent or meaching ki tai; hatho me ek brefcase ke saath ek badi si gadi me se utra or uska swagat kiya PRAKASH TIWARI ke P.A. ne or le gaya tiwari ji ke office me; or fir P.A. ne parichay karaya; ye hai DAVID BROUN sir inki USA me kai factories hai or ye aap ki state me company daalna chahte hai; or fir P.A. ne mantri ji ke bare me batana chalu hi kiya ki DAVID ne beech me hi rock diya or bola aap ko kon nahi janta aap hai prakash tiwari; kisi forener ke muh se hindi sun kar mantri ji ko bahut khushi hui. DAVID ke saath uske 2(do) log bhi the david ne unka parichay karaya; ye mere vakeel hai or ye mere P.A. fir DAVID ne kahna suru kiya dekhiye mantri ji mujhe ghuma fira kar baat karne ki aadat nahi; aap ko ye to pata hi hoga ki me yaha kyo aaya hu; mantri ji bole ji bilkul, magar is kaam ke liye kai department se permission maagni padegi or kuch waqut bhi lag sakta hai, tab DAVID bola mujhe factory banane me koi takleef na ho isliye to aap ke pass aaya hu or fir DAVID ne ek check nikala 50 lakh ka or kaha ye meri taraf se chota sa nazarana; jitna bhi money lagega hum dega or aap ki fees alag se dega to agli baar hum jaldi milte hai; mere vakeel ne paper banwa kar rakha hai bas aapke sign chahiye or fir isara karta hai apne vakeel ki taraf or vakeel breaf case khol kar kuch kaagjaat deta hai; aap inko achhe se padh lena or jo kami ho puri kar dena I hope hum dobara jab bhi milege to ye kaam pura ho chukka hoga. Or hamere dobara milne per hum aapko aisa gift dege ki aap ne kabhi socha bhi nahi hoga.
Idhar india me ek 15 year ka student “ IMPOSIBLE FORT VICTORY” game ke liye apne aap ko rejister kar raha tha; name—“SONU”; father name—vinod patil; mother name—“ ”, father occutation—politicion; mother occupation—house wife. Sonu game ko kehl raha hai magar wo us fort me enter nahi ho pa raha hai is liye usne ek suggestion diya ki kya hum surang bana sakte hai or agle din use answer mila ki ha aap bana sakte hai magar khudai ke kaaran security me lage jawano ko pata chal jayega or fir aap kaha se khudayi karege kyoki khudayi me mitti niklegi usse kaha feka jayega; magar jesa sonu chahta tha wesa usko game me option mil gaya or sonu game me surang banane laga or wo jesa ki chahta tha ye surang toilet me khule aisa hi huwa magar waha ki toilet sensitive thi or thodi gadbadi hote hi ek sairon baja or fir sonu ka hero faki der tak fight karta raha magar safal nahi ho paya. Raat me sonu apne papa se puchta hai papa parliament me kisi khufiya raste se nahi pahuch sakte kya? Tab vinode patil bole aisa to koi rasta nahi kyoki mene aisa suna hai ki sansad(parliyament) tak pahuchne wale ya uske aas-pass ke gataro ko bhi hai security di gai hai; un per jagah-2 camere lagaye gaye hai. Uddhar VISHU ke dimaag me bhi surang banane ka vichaar aaya or jab wo game khel raha tha to use is tarah ka option dikha or surang kholne ke hathiyaar bhi. VISHU ne bhi bahut try kiya magar wo surang bana kar aage badhne me success nahi ho pa raha tha. Ek raat VISHU apne papa se puchta hai ki parliyament me yadi koi surang bana kar ghus aaye to; tab R.K.RAY vishu ke papa kahte hai ki surang banana imposible hai kyoki hamne security ke tahat ek prakaar ke yantra laga rakeh hai jo jameen ke halke se halke kampan ko mahsus kar leta hai or fir surang me to kafi samay tak kampan hoga. Fir R.K.RAY bole beta ye tum puch kyo rahe ho tab vishu bola papa internet per ek game hai uski building lagbhag parliyament jesi hai me us mission ko paar nahi kar pa raha hu. Tab R.K.RAY bole beta wo ek video game hai or mera kaha maano to jyada video game mat khelna nahi to aakho me problem ho sakti hai. VISHU ne ha me sir hila diya.
Idhar hotel me huwe hamle ki CBI investigation chal rahi thi magar unke haath me koi pukhta sabot nahi lag raha tha. Post martam ki report bhi aa gait hi USMAAN ki or report me tha ke use kisi pristal se mara gaya hai jo ki bilkul latest hai keval kuch hi desho me uplabdhya hai. CBI ne waha per aaye huwe har aadmi ka data check kiya yaha tak ki hotel me aane jane walo ki CD video bhi dekha magar unke haath me kuch na laga. CBI ko ye nahi samajh me aa raha tha ki yadi usne madad ki hai to wo yuvak ruka kyo nahi kyoki aaj-kal to log fame ke liye kya-2 karte hai or aisa karne wala to ek minit me pure world me famous ho sakta tha. Idhar CBI or polish is gutthi me uljhi hui thi magar unke kuch bhi samajh me nahi aa raha tha. BASANT ka beta(jitu) bhi is game ki chapet me hai is liye wo bhi kai dino tak khelta raha magar fort ko jeet nahi saka; har wo person jo game ke liye suggestion de raha tha or uske liye kya solution aa raha hai or daily game me kya upload ho raha hai in sab per BASANT ke bête ki nazar thi ek din JITU ne socha ki kyo na aisa kiya jaye ki saari game plaining hi khud ki jaye is liye usne kai suggestion diye magar suggestion ke pahle usne game ke mutabik apne aap ko register kiya or fir usne kuch information feed ki sansad (parliyament) ki security se relaated. Or fir Sunday ke din jab BASANT apni family ke saath unhe picknick spote per le ja raha tha tab jitu ne sansad ki security se related kai questions puche tab basant ne pucha kyo? To jitu ne kaha me game me ye saari cheese feed kar duga or fir ek mission ki stage paar karuga. To basant ne kaha jitu bête ye video game nahi asal me hamari security ko koi nahi tod sakta tabi jitu tapaak se bola kesi security hai bataiye na DAD or tab Basant ne kaha batata hu magar promis karo or kisi ko nahi bataoge tab jitu bola pakka promis or fir Basant jitu ko kuch-2 security ke bare me batata gaya or last-2 me jab wo ghar aa rahe the to bhi jitu apne DAD se security se related questions puch raha tha, magar ab basant ne usko santh rahne ke liye kaha. Basant ghar pahucha; basant or uski patni picknik ke baad bahut khus the or jitu aate hi compute khol kar game khelne ki teyari kar raha tha. Basant or uski patni priya aate hi samaan jamane me or khane ki teyari me lag gaye. game me jitu ne sari information apne mutabik bhar di or wo ye---- jab bhi koi parliyament me jata hai to usse 7 gate se gujarna padta hai; pahle gate per security, aap ke vahan ko check karti hai or I card dekhti hai fir kai ghumaav daar mode wale rode or speed braker taki koi jyada speed me na chala sake or fir har gate ke nikalte hi ek chota sa bridge milta hai usme yadi koi vahan ke upper dought hai to ek batten dabane per iron ke kaate nikal aate hai jo bade se bade truck ke tayer ko bhi bhrust kar sakte hai. Sansad ke aakhri gate per pahuchne ke baad gadi wahi rukh jati hai or fir takriban 100 meter sabko padal chalna padta hai or is beech alag-2 jagah khadi hone wali car se jo aate hai unke liye alag-2 gate hai or har gate per kadi surakshya andar se bhi or bhahar se bhi or main parliyament ke andar pahuchne ke liye gate me se hokar kafi lamba safar tay karna padta hai or security tough hoti jati hai. Sansad ki roof per kai gard lage hote hai jo kai duri tak dekh sakte hai or sabhi latest hathiyaro se less or sansad ke roof per kai MG-gun machine lagi hui hai taki yadi koi gadbadi hoti hai to wo door se hi handel kar sake. Ab intzaar tha jitu ko apne mutabik game load hone ka.
Idhar hafte bhar baad minister PRAKASH TIWARI or DAVID BROUN ki meeting ek hotel me fix hui. Tiwari ji ne sare kaam kar diye the; is baar DAVID ke saath ek forener ladki bhi thi; sara kaam sahi hone ki pusti DAVID ke vakeel ne ki or DAVID bola tiwari ji mene aap se kaha tha ki me aap ke liye kuch cheez rakha hai is liye ye aap ke liye aap ko pasand aayega or ek isare per wo forener girl minister ke pass aakar beth gai. Mantri ji ki khushi ka thikana na tha magar agel hi pal mantri ji bole ji shukriya-2 magar hotel me ye public place hai iske liye meri aap se request hai ki aap mere gest house me aaye tab hum aap ka TOHFA Kabul karege. DAVID muskuraya or ek hi pal me ha kar di tab mantri ji ne DAVID ko kal apne gest house me bulaya or ye baat bhi kahi ki wo aapke project me se 20% shyer chahta hai. David ne turant ha kar di. Agle din David pahuch gaya minister ji ke fome house or waha per david ne mantri ji ko unki amanat or 20% shyer ke kaagjaat shop diye or bola me 2 week ke liye isko aap ko deta hu. 2 week baad hum isko le jayega magar ab to mantri ji ko kuch nahi dikhayi de raha tha kuch sunayi nahi de raha tha us forener girl ke aage ye DAVID bhi samajhta tha isliye ye baat wo mantri ji ke P.A. se kah gaya.
Idhar Fradi kahi se apna trip khatam karke pakistaan pahucha or us game ki progress dekhi or game ko up load kar diya jesa ki usko khelne wala chahta tha. Fradi ke chahre per khushi ki lahar saaf dikhayi de rahi thi. Usne turant Pakistani general ko bula ke pucha mere 25 saathi kaha hai; kya wo puri tarah trend ho chuke hai; jawaab me jeneral ne kaha bas wo to intzaar kar rahe hai ki kab wo kahar machaye. Ye sunte hi Fradi hasa ha is baar to kahar hi barsega. Fir Fredi ne next day sabhi 25 aatanki saathiyo ko bulwaya. Sahi samay per sabhi 25 log pahuch gaye. Fradi ke saath Pakistani general the or Fradi ke saamne Hindustani parliyament ka model rakha tha. Fradi chillaya sabhi teyaar hai tabhi kai swar ek saath guje yer sir; fir Fredi bola ye dekho is baar hame Hindustani parliyament ko udana hia uske andar har ek neta ko jahannum pahuchana hai; kisi ko bhi nahi chodna hai koi bhi decision lene wala na bache. Or fir Fradi samjhata chala gaya apna plan or fir aakhiri me bola humare mission ki date hai 25 october jo ki theek 15 din baad hai isliye tumlogo ko theek 1week ke baad sea ke raste se pahle bangla desh jana hoga waha per hamare sathi tumhe border paar karwa dege jab border paar kar loge to tumhe delhi pahuchna padega or delhi me tumhe tumhara saamaan ek din pahle mil jayega or sabse aham baat hamare mission ka code hoga “”KHOON KE AASU MAT RONA”” or isbaar tumhare caption hai FAIZAL. FAIZAL ke pass jakar Fredi ne kuch nikala or Faizal ko dekar bola jab tum parliyament ke andar aajawo to tumhe waha hamara ek aadmi milega wo tumhe mission ka code word batayega tub tum ye amanat use de dena or tumhe ye amaanat us tak kisi bhi tarah pahuchani hai or usse milne ke baad jesa wo kahe tumhe wahi karna hai or yadi is baar hum apne maksad me kaamiyaab ho gaye to hamari jannat pakki hai kisi ko koi sawaal or fir ek sur me aawaaz aayi nahi janaab. Fradi ne sabhi ko jane ke liye kaha or ye bhi kaha jitni aiyaasi karni hai karlo kyoki ye mission bahut khatarnaak hai saayad hume fir moka mil paye ya na mil paye. Fredi ye meeting attend karne ke baad nikal gaya USA.
10 october ko Ajay or Pooja ki saadi ka mahurat nikla hai. Teyariya to October ke suruwaat se hi hone lagi thi, har jagah card bate ja rahe the ristedari ki bheed October ke suruwaat se hi judne lagi thi dono ke parivaar ek saath mile or dono ki sadi dhoom-dhaam se hui kyoki Ajay ki sadi thi to yaaro ka aana to bahut jaruti tha; saadi suda hone ke kaaran Basant or Priya to time per aa gaye magar Aman or Prem dono aa rahe the masti marte huwe. Saadi ke silsile me Ajay ne to chutti le rakhi thi magar Aman,Prem or Basant aa rahe the apni duty karke. Prem ne aate hi beautiful ladkiyo ka haath dekhna chalu kar diya or unki tarifo ke pul baadh diye; Aman ye dekh khush ho gaya ki Prem ko haath dekhna aata hai or intzaar karne laga ki Prem ki raas lila kab khatam ho .ladkiya Prem ko apna Phone no. dekar ja rahi thi or call karne ka kah rahi thi. Jese hi Prem palta Amen uske saamne khada tha or Prem ko ghur raha tha; Prem ne pucha kya huwa to Aman ne Prem ko chum liya or kaha yaar tune bataya nahi ki tujhe haath dekhna aata hai to Prem ne bola achha mujhe bhi aaj pata pada. Ye sun kar Aman dang rah gaya or bola matlab tumhe haath dekhna nahi aata; to fir unladkiyo ko kya bata rahe tha; isper Prem bola are yaar tu samajta kyo nahi ladkiya bhi yahi chahti hai ki koi unki care karne wala ho koi chahne wala ho, unhe koi pyar karne wala ho. Ye sab sun kar Aman ko bhi josh aa gaya or wo bhi ek ladki ke pass pahucha or uski taarif karne laga wo ladki Aman se impress ho gai or boli mujhe apna no. de do mera devose hote hi me tumhe call karugi handsum, ye sunte hi Aman ke tote udh gaye or wo ulte pear waha se bhaga. Aman or Prem kafi dair baad Ajay ke pass pahuche or usse congratulation diya. Or photo khichwa hi rahe the ki ek ladki pooja ke bagal me aakar khadi ho gai. Prem usse dekhta hi rah gaya; prem turant lahrata huwa us ladki ke pass pahucha or tareef karne laga is per ladki ne kaha; kitni bewakuf hoti hai wo ladkiya jo thodi si badwayi sunte hi fisal jati hai; me usme se nahi sorry yaha tumhari daal nahi galegi; kyoki isse pahle jin per aap try maar kar aaye hai wo meri frnds hai; jane kyo unhe dekh kar samajh me nahi aata ki aise logo se kyo muh lagti hai jo har ladki ki taraf bhagta hai; her ek per chance marta hai; is per Prem bola kaash aap bhi apni saheliyo ki tarah hoti.is per wo ladki boli kya? To Prem bola kuch nahi or haath badhaya hello ke liye; bande ko Prem kahte hai, magar us khoobsurat ladki ne bina naam bataye hi apna rasta naap liya; or ye ada prem ke dil ko bha gai. Prem ki ye sararte Ajay or pooja dekh rahe the. Prem fir Basant or priya bhabhi se milta hai; or milte hi kahta hai aap log kafi late aaye me or Aman to kab ke aaye huwe hai; ha late ho sakte hai bhai aap family wale jo thahre. Is per priya boli ji nahi aaye to hum hi log late hai, ha wo baat alag hai ki aap ko jab se wo ladki dekhi hai aap ko uske alawa party me or koi nazar bhi nahi aa raha hoga. Is per prem jhepa or bola to aap logo ne bhi dekha; is per priya boli humne hi nai saari parti ke log aap ki hi sararte dekh rahe hai. Ab to Prem saram se laal ho raha tha. Basant ko ye dekh hasi aagai; are janaab aap per sarmindgi achhi nahi lagti ye un ladkiyo ke liye rahne do; wese bhi aaj aap is ladki ke piche hai or kal kisi or ke hoge; is per prem bola nahi yaar wo kudi to dil le gai. Basant bola wo to har sundar ladki ke liye tu kahta hai isme naya kya hai. Magar Prem bola nahi yaar is baar kuch alag hatke feeling aa rahi hai; lekin tu nahi samjhega chal hat mujhe bhabhi se baat karne de; or bhabhi se baat karne lagta hai; Basant kahta hai or Aman kaha hai; Aman ko khojne lagta hai. Prem Priya bhabhi se uska naam or pata pucne ki jid request karta hai. Priya Prem se kahti hai kya tum us ke liye serious ho; Prem tapaak se ha kahta hai or kahta hai ki usse dekh kar aisa laga jese bhagwaan ne ye ladki mere liye hi bheji hai. Priya kahti hai theek hai magar agar kuch ulta-sulta tumne kiya to iske jimme vaar tumhi hoge. Prem bola bhabhi aap mere saath ho to ulta ki hona hai; ye sunkar priya chali jati hai us ladki ke pass or thodi hi dair me vaapas aati hai us ladki ke pure bayodeta ke saath. Prem to jese ye bhool hi gaya tha ki wo Ajay ki saadi me aaya hai; jese hi priya aati hai ajay use kheech kar pooja se milane le jata hai; or piche-2 Prem apne aap aa jata hai to Ajay kahta hai are tu yaha kya kar raha hai ja us ladki ke piche. To tune bhi dekh liya prem bola; yaar itne busy shudule me itne logo ke beech itne logo se milna fir bhi tu ye sab chode kar faltu ki cheezo ko dekhta rahta hai; aaj kal tera dhyan kahi lagta nahi hai. Ajay bola dhyaan to tera nahi lag raha tujhe kab samajh me aayega ki har ladki ke piche mat bhaga kar; isper Prem bola yaar ye final hai ye sunkar basant,Ajay or Aman hasne lagte hai or uski kai final wali ladkiyo ke naam ginane lagte hai. Shila—wo to shadi karna hi nahi chahti thi; aarti—are yaar uska to pahle se boy frnd tha; Dipti—wo to tujh per jaan deti thi ab is baat se mana mat karna to prem kahta hai ha magar wo bahut chipki thi me usse sadi karta to saath janam to kya pure yoniyo me wo mere saath chipki rahti. Basant ne ye saari baate santh karwayi or Prem se bole yaar ye teri baate tu hi jaan. Jo puchna hai puchle Priya se or jaldi kar kyoki ab hamari family hai hame jaldi ghar bhi jana hai kyoki jitu hamara intzaar kar raha hoga. Is per Ajay bola aap jitu ko kyo nahi laye to Basant bola saahab jade ko kuch kaam tha or wo is samay koi stupit sa game khel ta rahta hai is liye wo nahi aaya. Yaha Prem utawla huwa ja raha tha us ladki ke bare me jaanne ke liye; priya ne bataya ki uska naam DIPIKA hai or Pooja ki relative hai to ab tumhari madad mere se jyada Pooja kar sakti hai; Prem priya ko rok kar kahta hai wo phone no. wagerah mil jata to is per priya hasti hai or kahti hai mil jayega-2 jara itminaan to rakhiye. Ek hi din me baaji jitna chahte hai. Saadi ka programe khatam huwa or usdin se Prem ka naya kissa chalu ho gaya wo sote jaagte ussi ladki ke bare me sochta rahta tha. Ajay ko sarkari quarter basant ke bagal me hi mila hai dono me khoob banti thi kyoki Basant; Ajay , Priya, or pooja ek dusre ko collge ke samay se hi jante the charo jab bhi mil jate to lagta ki life me kuch badlaav nahi aaya or unhe apne college ke din yaad aa jate. Idhar Prem ki raato ki need haraam ho gai or usne apne aap ko kafi roka magar chala aaya Ajay ke yaha pooja se milne dipika ke bare me jaanne. Usdin Sunday tha isliye sab ghar per the pahle to Ajay ko khushi hui ki Prem aaya hai magar jab pata pada ki Prem to dev-dass ho gaya wo unse milne nahi balki us ladki ke bare me jaanne aaya hai to Ajay khoob hasa or basant to bhi aawaaz laga di ki tujse milne koi Prem sanyasi aaya hai. Basant ko jab ye pata chala to uski hasi ka thikana na tha magar Prem bola hus lo salo tumse to wese bhi umeed nahi thi me to apni bhabiyo se milne aaya hu mujhe maalum hai tum madad nahi karoge magar meri bhabi jab tak hai mujhe fikra karne ki koi jarurat nahi; hena bhabhi is baar Prem ki baato se baccha pan jhalak raha tha. Ab baari thi bhabiyo ki--- to janaab ko pyar ho gaya hai; agar hum ne phone no. la diya to hame kya milega. Prem bola jo aap chahe me wo karuga. Pooja boli theek hai. Aaj saam tak aapko uska number mil jayega or rahi badle me aap kya dege iski baat to hum fir kabhi maag lege magar apna waada bhool mat jaiyega. Prem bola bhabhi me aap ko bhool gaya to kaha jauga. Prem ko Dipika ka Ph. No. mil gaya tha is liye unke beech baate hone lagi, suruwaat me nock jhok hui, thoda takraar hum; magar wo kahte hai na ki jaha takraar wahi pyar; Prem roj uske piche jane laga idhar pooja se bhi prem ke bare me jaankar Dipika ke man me bhi Prem ke liye prem umadne laga or yahi silsila kai dino tak chalta raha.
24 october ki subah Priya ke haath se ek durga maa ki silver ki patli si murti gir gai or wo khandit ho gai. Priya ko bahut dukh huwa or thoda ghabrahat bhi magar Basant ne kaha koi baat nahi me aaj hi isko sahi karwa kar le aata hu. Ajay ki chuttiya khatam ho gai thi 20 october ko or usne 21 october se charge le liya tha; Ajay or basant ke ghar bagal me hi the isliye dono saath me hi jaya karte the. Ajay ready hokar Basant ke ghar me khada tha ye dekhte hi Basant ne wo murti apni dress ke bai pocket me daal li or jate samay raste me wo murti dikhayi jewelers ko; dukaan daar ne wo murti dekh kar wesi murti kal lejane ko kaha; kyoki murti khandit thi isliye uski pooja nahi ki ja sakti thi is liye jab Ajay or Basant parliyament pahuche to Basant ne wo khandit murti Prem ko de di kyoki Prem jaha se aata tha waha per nadi thi or Basant ye chahta tha ke ye murti nadi me sira di jaye; murti ko Prem ne apni shirt ki bai pocket me rakh liya or jab saam ko duty khatam karke sabhi ghar gaye to Prem murti ko nadi me visarjit karna bhool gaya. Agle din 25 october.
Idhar David broun theek 2 hafte(week) baad 24 october ko mantri ji ko call karta hai or mantri ji usse apne gest house me bulate hai. David moke ki najakat ko samjhte huye raat me jata hai. Raat ko David forener girl ko or apne P.A.,vakeel ko waapas jane ke liye kahte hai . David or mantri ji raat me party karte hai dono bahut saraab pite hai or mantri ji batate hai ki kal 12 baje unki parliyament me meeting hai. David kahta hai aap ne ham se haath milaya hai ab dekhiye aap jaldi hi progress karege. Fir David ne pucha aapka P.A kaha hai tab mantri ji bole wo bibi bacche wala aadmi hai usse ghar bhi jana padta hai. Fir David ne pucha wo kab aayega to mantri ji bole kal subah 10 baje aayega mera sara programe wahi to fix karta hai bhool bhi jaao to wahi yaad dilata hai; ab itna bharose ka aadmi milna muskil hai. David bola theek hai achha laga aapke saath party karke ab hum chalta hai; tabhi mantri ji bole raat me kaha jayege me to kahta hu ki aap yahi rukh lo subah hote hi me kisi se aap ko jaha kahege chodne ke liye waha chod dege. Ye sunte hi David teyaar ho gaya; dono raat me soye magar jaga ek hi.
Subah koi kisi ki laash ko thikane laga raha hai magar kon kiski ye samajh me nahi aa raha hai; laash ko mantri ji ke kamre ke almera me wo lash chupa di gai. Or thodi deir me mantri ji teyaar hoke nikle ”yani ki wo laash David ki hai” or kisi ka intzaar karne lage jese koi aane wala ho; thodi hi deir me mantri ji ka P.A aa gaya or aaj mantri ji ko bade aaschayar hoke dekh raha hai. P.A. ne kaha sir aaj aap itni jaldi kese teyaar ho gaye, to mantra ji bole ha wo aaj meeting hai na P.A. badi dhuvidha me tha. P.A. ne fir pucha David saahab chale gaye kya to mantri ji bole nahi usne raat me jyada chada li thi is liye so raha hai, fir mantri ji ne nokar ko bula kar kaha hamare khas mahmaan upper mere kamre mai hai us kamre me koi na jaye. Unhe disturb mat karna. Or fir mantri ji nikal gaye parliyament ki meeting attend karne ke liye kyoki aaj “25 october” hai.
Basant or Ajay ghar se nikhle dono ne apni patniyo se gale lag kar to kisi ne uske maathe ko chum kar office ko jane ki baat kahi or kaha ki saam ko milte hai. Ajay, Basant, Prem or Aman or kai saare fojiyo ko reporting time subah 8 baje tha or hamesa sabhi reporting time ke pahle hi report karte the. Subah aate huwe Basant ne jo murti order ke liye di thi wo utha li or apne sirt ki bai pocket me rakh li. Basant or sabhi sathi parliyament me pahra de rahe the aaj ka din kuch khash tha kyoki aaj ke din parliyament me question period chal raha tha isliye sabhi important neta or saansad aane wale the. Sabhi netaoo ka 11 baje se pahuchna prambh ho gaya tha kyoki question period 12 baje se start hona tha. 12 baje or sabhi neta parliyament ke andar ho gaye.
“25 october” ke din Mahtri tiwari ji aaj jate huwe P.A. se jyada baat nahi kar rahe P.A. ke man me sawaal aaya daily to santh nahi bethte the or aaj baat nahi kar rahe ; Mantri ji 11:30 per pahuch jate hai or dekhte hai ki kai neta saansad waha pahuch rahe hai. Aaj 25 october hindustaan ke liye sabse kharaab din kyoki aaj jo hone wala tha wo aaj tak nahi huwa hoga-------kyoki 12:30 per ek truck aaya usme pani ki bottle load thi ye bottle un mantriyo ke liye jo is meeting me hissa lete hai; truck ki achhe tarike se talasi li jati hai truck jis variyer se nikalta hai usse pura truck check huwa magar koi sandith vastu nahi pai gai magar jese hi truck checking se aage badhe usse pahile hi teji se do van aayi or us choki ko rocket se uda diya. Dhamaka itni jor se huwa ki pura ilaka tharra gaya or agle hi pal ek goli us driver ko lagi jo turck me betha tha or palak jhapakte hi ek aadmi us van me se utra or driver ki laash niche gira kar truck me sawaar huwa or fir full speed me truck chalane laga. Truck lagbhag ek bariyer paar kar chukka tha or wo dusre variyer ki taraf badh raha tha.
“ Is dhamake ke theek pahle 12:15 ko,25 october ke din hi ek call aaya PRAKASH TIWARI ke P.A. ke mobile per or phone aa raha tha mantri ji ke ghar se P.A. ko thoda ajeeb laga ki mantri ji yaha hai to mujhe waha se kon call kar raha hai. Asmanjas me call uthaya or jo bhi usne bataya usse P.A. saab ka chahra pila pad gaya; wo kuch samajh nahi pa raha tha ki kya kare kya kahe, kisse kahe. P.A saab ne ek security gard ko bulaya, or bole Prakash tiwari CM jo hai wo andar gaye kya; Basant bola ha wo to kab ke gaye; P.A ke rang udhe huwe dekh kar Basant ne pucha kya koi problem hai or P.A kuch kah pata ki ek dhamake ne sabka dhyaan khicha.”
Lekin dhamake ke kaaran security high alert ho gai; sabse pahli choki me phone lagaya gaya magar koi bhi cheez salamat nahi bachi thi fir unhone dusri choki me phone lagaya to keval itni aawaaz aayi ki kuch log; or ek truck aag se jalta huwa bariyer tod kar teji se badh raha tha or piche se dono van se kai rocket us chawani ko bhi barbaad kar gaye magar is baar jawaan fail gaye the is liye us truck ke piche ek van badh rahi thi or ek van ke aatankwadi wahi utter gaye or fir firing hone lagi. Yaha firing hote dekh parliyament ka sairen baja diya gaya or parliyament ke roof me bane bankar musted ho gaye or durbeen se jayeja lene lage to fir ek saath order milne per MG gunmachine chali.
Udhar Prakash Tiwari ke P.A. ne bataya ki abhi mujhe phone aaya tha mantri ji ke ghar se unke kisi nokar ka wo kah raha tha ki mantri ji ki laash ghar per padi hai. Magar mujhe ye samajh me nahi aa raha mantri ji to yaha hai; magar mene unhe ye baat batayi to bole hum itne saalo se Prakash ko dekh rahe hai hum unhe bahut achhi tarah se jaante hai; or wo jhoot nahi kah sakte kyoki wo kaafi saalo se mantri ji ke yaha kaam kar rahe hai or unka koi apna bhi nahi hai. Isliye wo mantri ji ke gest house me hi rahte hai. Or aaj subah mantri ji ka nature bhi mujhe thoda alag dikh raha hai, unki aawaaz bhi badly-2 lag rahi hai. Basant bola kon ho sakta hia aapko kisi per sak hai. P.A. thoda soch me pad gaya fir bola wo Devid broun hi hoga; kuch samay pahle hi mantri ji se mila tha uski USA me shoes ki factory hai or wo issi silsile me mantri ji se mila tha 24 october ko wo raat me party kar rahe the or wo aaj subah jab me pahucha to usne ye kaha tha ki Devid upper mere room me so rahe hai; agar mantri ji yaha hai to waha David ko hona chahiye magar ghar per mantri ji ki laash mili hai iska matlab Devid hi mantri ji ka roop badal kar aaya hai.
Basant bola to aap ko lagta hai ki wo mantri ji nahi, Devid hai jo sansad ke andar gaya hai. P.A ne hami me sir hila diya. Is per Basant ne ek phone lagaya or main gate jo prliyament ka hai uske security gard se pucha kya tumne sabhi mantriyo ki sahi se talasi li koi hathiyaar to andar nahi gaya to gard bola humne sabko check kiya koi hathiyaar andar nahi gaya; fir gard bola kya baat hai sir--- to Basant bola ek bahrupiya Prakash Tiwari ke face me andar hai aisa hame sak hai magar tum kisi ko batana mat me waha aakar batata hu ki kya karna hia.
Basant—ki duty aakhri gate per thi jo sansad ke bilkul pass thi,Ajay—ki 2 no.ke gate per,Aman—ki 4 no. ke gate per or Prem—ki parliyament ke main gate ke baahar.
Truck continue badh raha tha or ek dam se saare beriyer todhta ja raha tha or jo chala raha tha usko range me lekar 4 no.ke gate per lage Aman ne nisana bana kar shut kar diya magar truck fir bhi badh raha tha or uski aad me wo van badh rahi thi. Udhar 2no. ke gate per jo aatanki utre the unke beech or hamare jawano ke beech firing start ho gai. Ajay ek-2 karke aatankiyo ko maar raha tha, kyoki Ajay ki chawani per hamla ho chukka tha isliye sab kuch chiter-biter ho gaya tha, ajay ko is tarah ladta dekh un aatankiyo me se ek ne us per rocket se humla kiya,Ajay ne apne upper humla dekh waha se chalaag laga di magar dhamaka bahut joor daar tha or ajay kahi door fik gaya magar or jawaan badi bahaduri se ladh rahe the lekin jaha se bhi jyada firing hoti aatanki waha per sidhe rokect maar dete. Is tarah us van me 12 aatanki the jisme se 4 bache the or wo pedal hi parliyament ki taraf badh rahe the.
Idhar truck ki aad me wo aatanki parliyament ke main gate ke jese hi saamne pahuche wese hi unper Indian MG gunmachine chal padi kai aatanki van me hi beth kar jahanum chale gaye or kuch idhar- uddhar fail gaye, is van me 12 aatanki the jisme se 8 bache the. Uddhar piche se security ne unhe gherna chalu kar diya magar 4 bache aatanki piche se aa gaye or fir dono ke beech heavy firing start ho gaya. Aatankiyo me roof per rakhi MG gun machine per rocket se humla kiya or unhe udha diya, idhar Indian aarmi jyada bade hathiyaro ka istemaal nahi kar sakti thi kyoki isse unhi ke sampatti ko nuksaan pahuchta.
Jordaar firing ho rahi thi, sansad ke andar or bahar ka mahol sehema huwa tha or watavaran goliyo or dhamako ki aawaaz se kaap raha tha. Uddhar wo 4 bache aatankwaadiyo ne rocket se sab per humla bool diya; wo apni position liye huwe the is liye goliyo se bache huwe the; magar wo loncher se rocket daag rahe the jisse kafi nuksaan ho raha tha or kai jawaan saheed ho gaye the; 2 aatani kisi badi si cheez ki aadh liye the is liye unper goliya nahi lag rahi thi, Aman unhe rokne ke liye apni jagah se aage badh gaya or jese hi wo unke pass pahucha aatanki loncher ko rocket me laga kar palta hi tha ki Aman theek loncher ke saamne khada tha gun liye or wo aatankwadi loncher uske badan me laga kar khada tha dono aamne saamne khade the or ye dekh kar aatankwadi muskuraya ki uska hathiyaar jyada bada hai magar koi kuch samajh pata ki isse pahile hi Aman ne roket ko apne sareer per kas kar loncher ko pakadh liya dekhte hi dekhte aatankwadi ke chahre ke expression badal gaye, dar uske face per dikhayi de raha hai or wo kuch samajh pata ki Aman ne uska trigger daba diya or Aman ke saath dono aatankwaadiyo ke chithede hawa me lahrate huwe nazer aaye.
Yaha Basant ko pata pada ki koi bahrupiya parliyament ke abdar hai, to usne ek plan banaya or apne 4 jawano ko white color ke kapde kurta dhoti pahna di or fir Basant unke saatha Parliyament ke andar gaya or bola hamari sansad per aatanki hamla huwa hai magar aap chinta na kare hamare jawaan unse nipat rahe hai magar kuch bhi ho sakta hai isliye aap sabhi ko me kahi safe jagah parliyament me hi pahucha deta hu bas aap ghabdaiyega nahi or corporate kijiye. Hamle ki baat sunkar waha afratafri mach gai or Basant ke saath aaye wo charo(4) jawaan mantri mandal me mil gaye or Basant ke bataye huwe aadmi ke aaspass ho liye. Ab sabhi ko kahi or shift kiya ja raha tha. Basant har 10 netaoo ko alag kar unke beech do security gard de raha tha istarah dheere-2 mantriyo ki sankhya kam hone lagi, or jo mantri alag hote gaye wo safe hote gaye or jawaan unhe parliyament ke piche le jane laga. Idhar har jagah 10-10 mantriyo ke alag-2 karne ka silsila jari tha aakhri ke jab 20 mantri bache to us bahrupiyo ko kuch samajh me aagaya or usne turant hi ek jawaan ki gan chinne ki kosis ki or is china jhapti me sabhi mantri Basant ke kahne per ek taraf ho gaye, us aadmi ko gun milhi gai kyoki usme gajab ki furti thi. Gun milte hi usne sab jawano per goliya chala di or parliyament ke ek or bhagne laga. Basant ke do goli lagi ek sine me or ek kandhe ko chukar nikal gai magar basant ne jate huwe us aadmi ko bhi goli maar di jo bhaag raha tha. Uske kandhe me goli lagi thi.
Parliyament ke baahar do(2) aatankwadiyo ko Aman ne uda diya tha or jo do bache huwe the wo lagataar rocket barsa rahe the ki tabhi dhool se lath path khoon se bhara huwa Ajay unke piche se aaya or dono ko goliyo se bhoon kar rakh diya. Ye dekhte hi saare jawaan khushi se jhoom uthe. Ab keval andar 8 aatank waadi the magar kisi ko kuch pata nahi tha ki wo kitne hai. Ajay or kai solder aage badh rahe the jaha se goli bari ho rahi thi magar saare aatank waadi badi hi saawdhani se kisi ek or badh rahe the. Goli baari lagataar ho rahi thi or jab wo unse bachte huwe aage badhe to unke 4 sathi or allamiya ko pyre ho gaye the. Aatankwadiyo ke caption FAIZAL ko us gajah tak pahuchne tha jaha per fredy ne bola tha magar wo kuch or aage badhte ki unka ek or saathi pata nahi kaha chala gaya; unhe aisa laga jese hamare piche koi hai wo teji se aage badhne lage magar is baar ajay bilkul unke saamne khada tha dono taraf se goliya chalne lagi or fir Faizel ne ek hand granat uchala magar uska pin nahi nikla tha or bhagne ke chakkar me Ajay ki gun wahi chut gai. Ajay teji se bomb ki taraf badha lekin Faizal ne goliya chalani suru kar di or ajay ko goli lag gai tabhi waha Prem pahuch gaya or Ajay ko bachane ke liye goliyo ki bochar se Ajay ko utha laya. Ab Ajay apni aakhri saase gin raha tha Prem uske sir ko sahlaraha tha. FAIZAL ka ek or sathi maara gaya ab keval do aatankwadi bache huwe the; Faizal is seen ka andaza laga raha tha ki waha kya ho raha hoga jo jawaan usko bacha kar le gaya hai. Idhar Ajay ne Prem se bola yaar teri bhabhi ne tumse ek waada liya tha ki wo jo maagegitu dega; wo mujhe magegi to tu usko ye de dena or Ajay ek locket de deta hai jisme Ajay or Pooja ki tasveer bani hui hai; locket lete hi Ajay dam tod deta hai. Prem Ajay ki mout ke kaaran pagal ho jata hai or uske saamne se hi FAIZAL or uske saathi ko goli maarta hia. Faizel ka ek or sathi mar jata hai magar Prem ko goli lag jati hai or wo gir jata hai.
Idhar mantri ki sakal me wo aadmi Faizal ke saamne aata hai, Faizal use maarne hi wala hota hai ki wo ek word bolta hai “ KHOON KE AASU MAT RONA” ye shabd sunte hi Faizal ki aakhe chamak uthti hai, “ are ye to FREDI hai”. Oh to ye fredi hai jo mantri ji ke bhesh me aaya hai kyoki ye pass word hum 25 logo ke alawa keval FREDI ko hi pata tha. Fradi ko dekh kar Faizai bahut khush hota hai.
or wo ek bahut choti si cheez “koi dabbi numa” uchal kar Fradi ko deta hai magar beech me hi koi usse pakad leta hai; Fradi ke haath me pahuch ne se pahle hi. Fredi kahta hai tu abhi mara nahi or usper goli chalata hia magar Prem uske haath me goli chala kar uski gun gira deta hai. Ye dekh kar Faizal kahta hai tu ab bhi jinda hai or goli chalata hai magar basant usko goli maar deta hai haath me or uski gun chut jati hai. Basant apni shirt ke left pocket se durga ma ki murti nikaalta hai or usko dikhata hai idhar Prem bhi asmanjas me apni shirt ke left pocket me haath dalta hai to wahi DURGA MA ki silver ki murti nikalti hai jo Basant ne use nadi me sirane ke liye di thi. Dekhte hi dekhte unlogo ko charo taraf se force ghair leti hai. Is tarah BHARAT MA ke Saputo ne ek baar fir bharat ma ki laag bacha li kisi ne jaan lekar to kisi ne jaan dekar.
Or ab to Indian army to un logo se pata kar hi legi ke unka maksad kya tha or wo log kya chahte the. Aakhir kya tha jo Faizal ne Mantri tiwari bane sakshya ko diya tha.(ye keval Fradi janta hai ki wo choti si cheez ek instrument hai jo sari O2 ko CO2 me badal deta or sare log parliyament ke andar hi dam tod dete.)
Written by------------AMIT KUMAR GUPTA
Contact no.-----------9039884725,8097340818
Email id. -----------POWER_AMITK@YAHOO.COM
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें