रविवार, 12 सितंबर 2010

film story "AADHA SHAREER"


                                        AADHA SAREER
Ek ghar jaha salo tak sab kuch theek tha magar ab kuch bhi theek nahi hai. Baat hai ek gaon ki jo kai baar mita fir bana, fir mita or banta raha naye naamo se.
Ghar ke mukhiya naam ramgopal ke 3 betiya thi, or 1 beta. Gaon ki wahi purani soch ki beti bojh hai or bete se vanse chalta hai. Ata ramgopal ka raveya betiyo ke prati  aatmik or manviya  nahi tha.  Wo hamesa ladkiyo ko koshta. Badi beti ki  usne jese tese sadi kar di thi magar do betiyo ko  hamesa koshta or kabhi-2 to beech wali ko bahut marta tisri wali beti choti hone ke karan bach jati. Tab majhli ladki “santi” apni kismet ko bahut koshti. Ek din wo apni kismat ko kosh rahi thi aagan me beth kar bagal me tulsi ke podha laga tha aagan ke becho bech sobhaymaan tha ki achanak  ek hawa ka jhoka  sa aaya . Santi apni hi jagah gir gai besudh magar aakhe fati hui, jese koi khof naak manjar dekha tho, palke bhi nahi bhi nahi jhapak rahi or uske baal bikhre huwe. Kuch  ajeeb sa. Dophar  ka samaya tha sabhi log ma, baba, bhai khet per gaye huwe the ghar me santi or uski choti bahan thi. Choti bahan dusre kamre me thi use kuch pata nahi chala sayad wo so rahi thi. Magar 2 ghante baad uski need khuli bhuk se bayakul usne aawaaz lagayi didi-didi, kai baar. Jawaab me koi uttar nahi mila. Sabse choti ladki ka naam minu tha. Menu uthi or apni didi ko talashne lagi ki didi padosiyo key aha to nahi chali gai ki achanak uski nazar santi per padi jo khali kachi jameen per leti hui thi. Minu ko laga didi ki u-hi need lag gai hogi. Minu  didi ko hilakar—didi utho mujhe bhukh lagi hai utho na. santi ke bina sareer me hulchal huye uski nazare ghumi or minu per tick gai. Aakhe laal jese khun uthar aaya ho. Minu pahle to dari  kyoki usne aaj tak santi ko is halat me nahi dekha tha, magar ji kada karke minu boli didi khana do na.  tabhi santi ke swar phute or ek bhari bharkam gujti hui aawaz se uske kano ke parde hil gaye. Santi kah rahi thi bahut saha hai mene dard, takleef per ab nahi ;ek-ek ko kaat dalugi, faad dalugi, cheer daalugi, maar daalugi. Ye kahte-2 ek dhakka minu ko diya. Minu bahut dur jakar giri. Uske to hosh ud gaye. Fir santi ne karkash aawaaz me kaha jakar kah do sab se ki me aa gaye hu. Me sabka vinaash kar dugi. Bahut paresaan kiya hai tumne mujhe. Kamla tum sabko iski saza  jarur degi. “kamla” kon hai ye kamla jiska naam santi ke muh se nikla hai.
Minu ye dekh bahut dar gai or turant khet me ma baba ko ye sandesa kah bhijwaya ki didi ko kuch ho gaya hai. Khet yahi koi 2-3 km tha, so aane me waqut to lagega hi, is beech minu ki himmat nahi hui ki wo aakele ghar ke andar chali jaye. Minu ghar ke bahar hi intzaar karti rahi ke koi aaye, or ma baba bhaiya ke aate hi sari baate kah sunai.
Pahle to kisi ko yakeen nahi huwa, magar jase hi aagan me pahuche to sabke pero tale jameen khisak gai. Santi garden ghuma rahi thi baal bikhre the or wo unhe dekhte hi betahasha  hasne lagi ek aajeeb si hasi, dai—dai-- dai-------------------------- .
Ramgopal paas jakar chillaya is per santi ki koi pratikiriya nahi hui or  wo jhum-2 kar kah rahi thi aaj fir mujh per atchyaar huwe hai me sabka sarvnaash kar dugi. Is per ramgopal ke chillakar santi ko dhakka diya to santi ne palat kar ramgopal ki chati me ek jordaar laat mari. Ram gopal wahi hosh khokar gir gaya. Santi ki ma chillayi—ye tune kya kiya ladki apne pita per hi – or rone lagi.   Santi ki ma ne ramgopal ko bête ki madad se uthakar santi se dur kiya or fir ramgopal ko pani ke chite mare; ramgopal hadbada kar utha or fir santi ki taraf dekha, santi sar ghuma rahi thi baal bikre aakhe fati hui or fir wahi hasi, dai—dai –dai -------------
Ramgopal ki patni chillayi kisi bhoot prêt ka saya hai hari govind ko bulawo. (harigovind gaon ka jharaiya jo apne tantra mantra se bhoot prêt aadi se logo ko or uske parivaar ko or us sarir ko mukti dilate hai jise wo paresaan kar rahi hai). Harigovind ko lane ram gopal ka ladka gaya “mahesh” . Mahesh jab tak usse lekar aaya raat ho chuki thi. Gace hai isliye light nahi thi.yaha per light keval muh dikhai ke liye aatihai.
Santi ab bhi sir hila rahi thi. Raat hone ke bavjude uski aakhe chamak rahe thi or hasi rukne ka naam nahi le rahi thi. Harigobind ne dur se hi chillaya kon hai nikal bahar varna tujhe bahut tadfauga; achanak santi ki hasi ruki, harigovind kuch budbudaya or  mutthi me kuch ret jesi cheez santi ke sareer me de mari. Santi  ko thodi jhatka sa laga or agle hi pal santi ne ek joor ka tamacha harigovind ko mara or harigovind behosh hokar door ja gira. Santi bhi apni jagah gir gai kisi ko kuch samajh me nahi aaya ke kya huwa or ab kya kiya jaye. Ramgopal ki patni ne santi ko sabhala or Mahesh va uske pita ne harigovind ko. Harigovind ko pani ke chite mare gaye harigovind jab hosh me aaya to bola bahut si aatmaoo ko dekha magar aaj tak mere saath aisa nahi huwa, kaha hai ladki; ladki behosh hai ramgopal  ki patni boli. Ladki ko hosh me laawo pani daalo isper or pani dalte hi santi hosh me aa gai. Hosh me aate hi santi rone lagi or ma ke gale lipat gai. Hari govind paas aaya or bola kya ho gaya tha ladki, santi boli malum nahi kaka bas itna yaad hai ki dophar me tulsi mandir ke paas so gai thi fir mujhe kuch bhi yaad nahi. Harigovind bola chalo koi baat nahi bitiya kuch nahi huwa. Ab hum chalet hai  Ramgopal,ye kah ve bahar  aaye piche-2 mahesh  or ramgopal—hari chinta ki koi baat to nahi hai. Harigovind- - chinta ki baat to hai magar achanak kuch samajh me nahi aa raha meri mano to aap ke baar pahad gaon ke sastri ji se is bare me charcha kar ligiyega vese bhi aap ne apni badi beti ki sadi me sastri ji se karz t liya  tha us silsile me aap unse milne jate hi ho to ye charcha bhi kar lena kyoki sabhi jante hai aaspass ke 12 gaon me unsa vidvaan koi nahi hai. Theek hai ramgopal ne kaha or idhar ghar ke andar minu ne santi didi ko un per aap biti kah sunayi. Santi ko bahut ajeeb lag raha tha.
Agli subah ramgopal pahaad  gaav nikal gaye or sastri ji se mulakat hui to pata chala ki jo rupaya ramgopal jama karta tha usse sara karaz utar gaya hai sastri ji ne kaha bhai achhi mahnat ki ramgopal tumne  theen baar ki maati me hi sara karaz chukta kar diya. Lo bhai apne jameen ke kagaz lete jana. Ramgopal bola ji kagaz kaha bhage ja rahe hai wo to me le luga magar ek samasya aan padi hai, sastri ji bole kya or rupaya chahiye ram gopal bola rupayo ki baat nahi hai or fir aap biti kah sunayi. Sastri ji bole mangal ko aata hu. Or fir sastri ji mangal vaar ko pahuche ramgopal ne unka utha u-chit satkaar kiya. Sastri ji ne bitiya ko bulaya uski nabz dekhi fir baari-2 se har sadasya ko dekha fir chokhat per gaye or usper khade hokar kuch mantra uccharan kiya. Baad me ghar ke har kone me gaye magar sastri ji ko kuch samajh me nahi aaya. Jab ramgopal ne pucha to ssastri ji bole dekh raha tha ki koi musibat to chokhat se hokar nahi aayi. Bhai ramgopal abhi to kuch sampat nahi pad raha magar me ek locket deta hu wo bitiya ke haatho me bandh dena or yadi  fir bhi koi dikka ho to bata dena.
Sastri  ji ne ghar me sab kuch dekha magar tulsi ghade ka mandir usper dhyaan nahi diya sayad ye sochkar ki tulsi davevat ki nisani hai. Sastri ji chale gaye magar ab jo is ghar me hone wala tha wo sayad hi kisi ne socha ho. Ek din Mahesh gaaye- bhash ke liye chara kaatne gaya tha wo raat hone se pahle lot aata tha yahi koi 8-8:30 . magar aaj wo chara kaatne gaya apne ek dost ke saath; uska or uske dost ka khet aamne samne  tha. Mahesh ne ghadi dekhi 7:30 baje the. Mahesh ka dost “gudda”  ne apni ghadi  dekhi or hus ke bola meri ghadi to hamesa band hi rahti hai. Dono aapas me baat karte huye kahte hai thoda or ghass katte hai, 8 baje tak chalte  hai  ke tabhi unhe khet ke aakhiri me aag lagi hui dekhi bahut uchi aag, Mahesh ne gudda se pucha ye aag kesi gudda bola mujhe kya malum. Dono ke hosh udh gaye the fir bhi Mahesh ne himmet ki or kaha chalo dekhte hai. Dono hi uchi aag ki lapto ki taraf badhne lage. Jese-2  ve badte jate tese-2 aag piche hoti jati or choti bhi, aag choti hote dekh Mahesh ne torch nikali or aag ki tarak dikhayi magar aag choti hote-2 diye ki lo ki tarah jalne lagi or fir bhuj gai. Mahesh ke kuch samajh me nahi aaya. Mahesh ne foran apna mobile nikala or nikaalte hi bettery down ka signal baja or mobile band ho gaya. Mahesh ne use fir se on karke dekha magar on nahi huwa; Mahesh ne fir se ghadi dekhi to 7:30  hi baje the . Mahesh ne socha in sab me thoda hi waqut laga hai isliye dhyan nahi diya or chara kaatne lage. Jab ve ghar ko lot rahe the to unhe raste me koi nahi dikha. Har din koi na koi lotte huye ya fir yaha waha bethe mil hi jate the. Mahesh ne ghadi fir se dekhi to 7:30 hi baje the gor se dekha to gadhi ruki hui thi, Mahesh samajh gaya ki aaj let ho gaye hai. Ghar pahuch kar waqut dekha to 10 baje the. Fir Mahesh ne mobile chargin per lagaya to bettri full ka signal aaya, Mahesh ko bada aaschayar. Mahesh ne isse bura sapna samajh kar bhulna chaha. Kuch dino baad---- ram gopal ke khet me kone per ek pedh laga tha isliye ramgopal utni jagah ko chode kar beez bota tha.magar ek aajeeb si ghatna hui aag ki baad wali ghatna se turant baad us pedh ke aas paas ke ghash or fasal lagataar  sukhti ja rahi thi or yah dayra dinodin badta ja raha tha  yah dekh kar ramgopal or uske ghar walo ke chahre pile pad gaye.
Ram gopal budbudaya kal sastri ji ke paas jauga, ramgopal subah ka intzaar kar rahe the garmiyo ka samay tha isliye ramgopal parivaar ke saath chhat per soya tha. Takriban 3 baje kuch aawaaz aayi jese koi ghughru pahan kar naach raha ho or aawaaz ho rahi thi jhai ka jhag gad -2 or fir ek joor ka thappad ramgopal ke gaal me laga or wo khat se neeche gir gaya. Niche girte hi aawaaz aayi or sabhi jaag gaye. Ramgopal yaha waha dekhne laga magar use kahi kuch nahi dikhai diya wo chillaya kon hai -2. Mahesh or ramgopal ki patni ki need khul gai thi unhone pucha kya huwa to ramgopal ne sari baat bata di. Iske baad unhone santi ko dekha to wo so rahi thi, ram gopal ne laintain ko teez karke santi ke paas kiya to ye kya---- santi aakhe faade dali hui thi. Ramgopal or uske parivaar vale bahut dar gaye, raat ko hi hari govind  ko bulaya gaya.
Harigovind aaya magar dur se hi jhadta fukta raha magar santi per kuch assar nahi huwa. Tab hargovind ne kaha aap santi ko yahi chode digiye or niche soiye. Sabhi is baat ko maan gaye; fir harigovind badbadaya, aapne sastri ji ko nahi bataya,ramgopal bola gaya tha or sastri ji aaye bhi the or santi ke baaju me locket bhi bandhe ko diya tha, bandhe bhi tha mene magar kuch samajh me  nahi aa raha hai. Harigovind bola meri maniye to kal fir sastri ji ko dikhaiye. Subah hui santi niche aayi, ab sabhi santi se duri banaye  huye the sabhi dare huye the koi kuch nahi bola ramgopal turant pahaad gaon gaya or samko sastri ji ko lekar aaya. Sastri ji ne aate hi santi ko bulaya or wo locket dekha magar ye kya? Locket baju me nahi tha or jaha locket bandha gaya tha waha ek ghaoo tha jese kisi ne nocha ho or locket nikaal liya ho. Sastri ji ne pucha locket kaha hai, santi boli malum nahi or ye ghaoo sastri ji ne pucha tab santi boli kuch yaad nahi, ghar ke sabhi sadashya heraan the ke ghaoo kafi gahra hai or santi ne hame bataya tak nahi puchne per santi boli aap sab mujhse bhag rahe the wese bhi sab mere kaaran paresaan the me ye bata kar aap sab ko or paresaan nahi karna chahti thi. Ramgopal chillakar santi ke taraf badha vese bhi hum sab itne paresaan hai, kyo hamari paresani badha rahi hai marti kyo nahi kahi jakar; ke tabhi ek bijli si chamki or santi me keval aadha sareer dikha khun se latpath; ramgopal ye dekhte hi jhatka khakar gira. Sastri ji bhi ramgopal ko bheraya huwa dekh kar samajh gaye ki jarur inhone kuch bhayanak sa mahsus kiya hai.
Santi ek tak ramgopal ko ghur rahi thi, aakhe badi-2 fati hui jese khun utar aaya ho. Sastri ji ne ram gopal ko toka or aisa kabhi na karne ko kaha. Santi abhi bhi ek tak dekh rahi thi. Sastri ji ne fir ek locket nikala “OM”  ka siddh padha huwa or bole abhi isko sahi karta hu. Sastri  ji locket lekar santi ki taraf badhne lage, locket ko dekh kar santi ki aakho me halchal badhne lagi or jese hi locket santi ke gale me dalne ki kosis ki gai santi chillayi , cheer dalugi, maar dalugi, faad dalugi or sastri ji ko ek joor ka dhakka laga magar sastri ji ne sabhalkar bina waqut gavaye wo locket santi ke gale me daas diya or tab dekha sastri ji ne wo bhayanak manzar jo sayad apni zindgi me unhone sayad isse pahle kabhi nahi dekha tha; ek aadhi khun se lath-path ladki or palak japakte hi dhuwa bankar ghar ke kisi kone me  gum ho gai. Sastri ji ki bhawe tan gai ve gambheer ho gaye or bole ramgopal puja ka intzaam karo hum agle mangal ko badi puja karege ma kaali ki; me saamaan likhe deta hu tum maga kar rakhna. Ramgopal bola ji aap us pooja ki baat to nahi kar rahe jisme janjeero se maar kar bhoot paret ko kabu kiya jata hai; sastri ji ne kuch nahi kaha bas sahmati se sir hila diya. Parivaar ke sabi sadasya ghabda gaye. Mahesh ek dam se bichlit ho utha, Mahesh padha likha tha isliye wo is pooja ke khilaaf tha. Sastri ji ke chale jane per parivaar me bahis hui ramgopal ke kuch samajh me nahi aa raha tha magar Mahesh nahi chahta tha ki uski bahan ko moti-2 janjeero se mara jaye, baal pakad kar jameen me patka jaye. Mahesh  ko yaad hai pichle saal aesi hi pooja ke kaaran gudda ke bahan chal basi thi pooja ke naam per use janjeero se mara gaya, uski bahan choti thi isliye wo ye prahaar nahi sah payi. Bhoot se chutkaara to mil gaya lekin chout ke  kaaran wo bimaar rahne lagi or fir kabhi ubar nahi pai isliye Mahesh ne kaha hum doctor ko dikhayege. Sahar le jakar har sambhav illaaz karwayege magar istarah ki pooja nahi karwani. Minu mehesh se choti thi or Mahesh santi se thoda chota tha. tay huwa agle hafte pooja na karwakar santi ko sahar le jaya jayega, waha per santi ka illaaz hoga. Ramgopal ne socha kal se khet kaatna suru karte hai, aanaaj ko bechne per jo rupya milega wo illaaz ke kaam aayega.  Idhar  santi ki  tabiyat kharaab rahne lagi,use aksar dore padte or wo sir ko ghumane lagti. Uska locket bhi yaha-waha pada milta, sabhi log paresaan rahne lage udhar khet me fasal kaatna suru kiya magar ek taraf se wo fasal kaat rahe the or dusri taraf fasal apne aap sukh rahi thi. Kisi ko kuch samajh me nahi aa raha tha bas ye lag raha tha musibate hame charo taraf se gher rahi hai. 5 din me ramgopal or uska parivaar aadha khet kaat paya baki ki fasal istarah sukh gai  mano aag se jhulaj gai ho. Is baar jo anaaz milega usse to keval lagat hi niklegi fayada thodi bahut hi hoga. Ramgopal ne utna hi aanaaz bech kar  dhan  arjit kiya or sahar jane ki tayari karne laga. Idhar pahaad gaon me ramgopal ke ghar ki koi khabar na pakar  sastri ji khud milne chale aaye ye jaanne ki pooja ki teyari hui ya nahi tab ramgopal ne unhe sari vaytha kah sunayi or ye bhi bataya agar docteri illaaz se kuch nahi huwa to aap ka hi aasara hai. Sastri ji bole theek hai dil ki tasalli ke liye ye bhi kar ke dekh lo me to yahi chahuga ki bitiya theek ho jaye, sastri ji ye kah kar chalegaye. Sahar me santi ka illaaz chala, sare test huye or sabhi positive aaye; tab doctor ne kaha kabhi—2 ye apna dimagi  santulan kho deti hai isliye aisa huwa hoga magar aap chinta na kare me ye davayi diye deta hu inhe waqut per digiyega or kosis kijiyega ki mareez ko kabhi bhi kahi bhi akela na choda jaye or ek baar kahuga; achha huwa ise aaplog yaha le aaye kyoki bhoot prêt jesi koi cheez ko science nahi manta na hi ye hoti hai. Doctor ke dilase per 5-6 dino baad ramgopal parivaar sahit gaon vaapas aa gaye. Aane ke ek do hafte tak sab theek raha magar santi fir wahi harkate karne lagi; sir hilati hasti magar ramgopal ne dherya se kaam liye or waqut—2 per davayi deta raha or doctor ki salaah leta raha. Kai mahine yu hi chalta raha or ek baar fir anaaz bone ka waqut aa gaya. Ramgopal or uske parivaar ne jitod mahnat ki; bhakkhar, khatu, beez or fasal ugte hi keetnasak ka istemaal kharpatvaar se khet ki rakshya ye soch ke isbaar achhi fasal hui to santi ki sadi kar dege or musibat se hamesa ke liye chutkara.or fir pichali baar kuch fayda bhi nahi huwa tha or jo rupya mila so is karamjali ne leel liya jhujlakar ramgopal ne kaha or fir choti ki sadi bhi to karni hai. Ramgopal dinbhar ki mahanat ke baad ghar pahucha saam ka waqut tha, sara din khet me hone ke kaaran thakaan or patni bhi khet me rahti thi isliye khane ki jimmevaari santi per rahti thi. Ramgopal ko santi ne khane ki thali di. Ramgopal khana khate huye;santi se—kal tujhe dekhne wale aarahe hai. Pandit se kahkar ye rista milwaya hai to kal sahi dhang se rahna kahi kuch uch-neech na ho jaye warna samajh lena mujhe bura koi nahi hoga; samjhi ke nahi or ye locket sambhaal kar pahinna, koi puche to kahna ki aise hi pahina huwa hai theek hai.
Agli subah hote hi teyariya hone lagi, ramgopal or uske parivaar vale intzaar karne lage, subah se dopahar ho gai magar koi aaya nahi tabhi pandit ji aate huye dikhte hai, ramgopal charan sparsh karke puchta hai wo log nahi aaye ladki dekhne. Tab pandit ji bole yahi batane aaya hu ki wo aayege bhi nahi kisi ne unhe bataya hai ki aapki ladki ke upper bhoot prêt ka saya hai; kya ye baat sahi hai. Ha magar aapko ladkhadate huwe swar me ramgopal ne kaha; tumne mujhe bhi aadhere me rakkha is kaaran mujhe bhi baate sunni padi. Ha magar ab wo theek hai ramgopal ne kaha; pandit ji—tumne mujhe pahle sari baat batayi hoti to ye rista haath se nahi jata or ye baat ab saari biradari me fel jayegi aas pass bitiya ka rista hona muskil hai. Ramgopal pandit ke pero me gir pada bola maharaj aap aesi baate na kare aap chahe to kuch bhi ho sakta hai, aap hi bataiye me kya karu. Pandit –theek hai me baat chalata hu magar dachina  5 guna luga. Marta kya na karta ramgopal ne hami bhar di. Santi chupchaap dekh rahi thi. Santi ne kaha bapu aap  chinta na kare aap istarah meri saadi mat kijiye mujhe sadi nahi karni. Itna sunte hi ramgopal aag babula ho gaya or usne santi ko ek chata maar diya. Santi ki ma ne roka jawaan beti per koi haat uthata hai bhala. Isse kisne bola beech me patar—2 karne ke liye, jab se peda hui hai kuch na kuch anhoni ho rahi hai; aaraam se sadi karke chutkara pana chahte the to wo bhi naseeb me nahi; karam jail kahi jakar mar kyo nahi jati yah kahte huwe ramgopal  bahar nikal gaya. Santi foot-2 kar ro rahi thi or apni kismat ko kosh rahi thi. Santi ne socha kyo na mar kar hi sabko chutkara de hi du tab santi ke man me aaya kal din me sahi rahega. Sab khet me gaye hoge or chutki so rahi hogi is tarah santi ne apni ieh-lilaa samapt karne ki sochi. Dopahar hote hi santi ne anaaz me se un goliyo ki dibbi nikali jo akshar istemaal ki jati hai anaaz ke kitadhuwo ko marne ke liye taki ghun na lag jaye. Santi aagan me aayi tulsi ghade ke pass pani liya or goli nigal li. Goli ne apna asar kiya or santi turant hi gir gai. Saam ho rahi thi raat ki halki-2 chitkiya or santi uth bethi mano ek gahri need se jagi ho. Santi chup chhap bethi thi; menu saam ke samay bahar kahi khel rahi thi; thodi der baad ramgopal parivaar sahit ghar aaya. Haat mu ghote hi pucha khane me kya banaya hai. Uttar na milne per—mar gai kya karam jail tujse hi puch raha hu fir bhi koi uttar na milne per ramgopal gusse me gaya or santi ko 2-4 tamache maar diye. Magar santi hili tak nahi or hasne lagi dai—dai—dai. Or fir ramgopal ki taraf dekha or fir achhanak ramgopal ko fir aadhi kati hui khun se lathpath ladki dikhi. Ramgopal ke hosh ud gaye. Ramgopal chilata huwa bahar bhaga. Parivaar vale bhi ramgopal ko chillakar bahar jate dekh uske piche bhage. Ramgopal  badbada raha tha usdin bhi yahi dikhi thi mene socha bhrem hai magar ab yakeen ho gaya hai kisi daayan bhutni ka saya hai. Raat ho chuki thi magar andar jane ki kisi ki bhi himmat nahi ho rahi thi; tab harigovind ko bulaya gaya. Harigovind aa to gaya magar usne santi ke pass jane se saaf mana kar diya. Fir kya tha harigovind aage-2 or ramgopal or uska parivaar piche-2. Harigovind bhi dar ke mare thar-2 kaap raha tha, magar padhaiya jo tahra isliye aage-2 chal raha tha, apni hi ichcha ke virudhya. Ramgopal ki patni ne darte-2 khana banaya khilaya or idhar santi aagan me hase ja rahi thi; koi or uske taraf dekh bhi nahi raha tha. Jese tese khana khakar sabhi ghar ke bahar aa gaye. Harigovind sabse jyada kaap raha tha sayad santi bitiya ka wo chata nahi bhula tha. Harigovind chillaya—kahe the  aapse sastri ji ko dikhaiye magar aap hai ki doctor ke dikhate fir rahe hai,doctor ke bas ka rog nahi hai ye kahe dete hai hum; ramgopal bola wo to theek hai magar abhi kya kare, bitiya ko uske haal per rahne do ,hame nahi malum harigovind bola. Magar kuch to karo koi to tarika hoga ramgopal bola, ha sastri ji jo locket de gaye the wo yadi  bitiya ko pahna de to kuch ho sakta hai. Ramgopal bola hame to pata bhi nahi ke wo abhi locket pahne bhi hai ya nahi. Agar santi is tarah ka bartaav kar rahi hai to iska matlab locket uske gale me nahi hai harigovind bola; mene bhi dekha hai, sastri ji ne ye locket pahli baar  kisi ko nahi diya; kai baar aisa ho chuka hai  or jab tak wo locket hota hai kisi bhi bhoot ya aatma ki himmat bhi nahi hoti aisa vesa karne ki.ram gopal bola to ab locket kaha dekhe tabhi minu tapaak se boli mene dekha hai locket wahi per pada hai aagan me. Fir kya tha locket ke liye harigovin ek baar fir andar gaya apni ichha virudha; piche-2 ramgopal or Mahesh  gaye, minu or uski maa bahar hi intzaar kar rahi thi or haat jod rahi thi apne iste dev ke ki is bala se chutkara do. Andar ka seen bada dilchasp magar bhayawah hone wala tha. Harigovind ko locket dikha usne lapak kar utha liya fir santi ki taraf dekha, santi has rahi thi; harigovind aage badha is irade se ki locket pahna dega magar agle hi pal ek aawaaz gungi “ wahi ruk ja agar ek kadam bhi aage badhaya to sarvnaash kar dugi, cheer dalugi, faad dalugi, kaat dalugi kamla aa gai hai fir ek chamak ke saath wahi aadhi kati hui khun se latpat laash dikhi. Sab chilakar waapas aa gaye or ye kamla ka bhoot hai jo santi ko paresaan kar raha hai magar ye kamla kon hai. Ab ramgopal se raha nahi ja raha tha subah hote hi pahaad gav ki taraf nikal gaya sastri ji ko batane or lane khet ko apni patni or bête ke hawale chode kar. Pichli baar ki tarah is baar bhi khet kinare se jaha per pedh laga hai waha se fasal sukh rahi  rahi thi. Pichli baar  to fasal katne per sukh gai thi to aisa lag raha tha ki sayad kaatne  me deri ki vajay se kuch fasal sukh gai magar is baar to abhi fasal  ugna suru hai hai abhi se hi sukh ne lagi fir  bhi Mahesh ne socha sayad yaha ki fasal ko sahi pani nahi mila to Mahesh ne achhe  se pani lagaya or dinbhar dekhta raha rakshya karta raha ki koi charpaya fasal na chopat kar de.    Saam ko Mahesh or uski ma ghar pahuchi to ramgopal wahi tha; Mahesh ne pucha sastri ji nahi aaye to ramgopal ne bataya ki wo kisi dusre gaon gaye hai, sandesa de aaya hu ab tak to unhe mil bhi gaya hoga kal subah tak aa bhi jaye sayad. Abhi santi ko dekha to santi theek thak ghar ka kaam kar rahi thi, magar sab dare huwe the. Fir Mahesh ne khet wali baat batayi to ramgopal bola pani to de aaya na; ha achhi tarah de aaya hu Mahesh bola. Idhar santi ko samajh me nahi aa raha tha ki usne jahar ki goli khai magar wo zinda kese hai ye baat usne kisi ko nahi batayi ki usne jahar khaya tha, magar andar hi andar sawalo ka selaab umad raha tha santi ke. Idhar ramgopal or uske parivaar ko subah ka intzaar tha or kheto me fasal ke sukhne ka dayra badta ja raha tha. Aakhir is fasal ke sukhne ka raaz kya hai. Subah hui koi khet per nahi gaya sabko intzaar tha sastri ji  ka or dopahar hote hi sastri ji aagaye per isbaar sastri ji khali nahi aaye the apne saath kuch samaan bhi laye the, jese unhe ab yahi rahna ho. Sastri ji ki aavbhagat ke baad sastri ji ne sabko apne-2 kaam per lag jane ko kaha; magar ramgopal ko rook liya atha ramgopal ne maheh ko khet per bhej diya. Sastri ji ne pucha kahiye kal kya huwa tha tab ramgopal ne  sari baat kah sunayi. Tab sastri ji ne pucha tumne bhi usdin wahi dekha tha jo mene dekha  ek khun se lathpath magar aadhi kati hui laash; ha ramgopal gola. Sastri ji ne pucha sabse pahle santi ko ishalat me kisne dekha tha. Hamari choti bitiya ne ramgopal aanayaas hi bola tab sastri ji ne minu ko bulwaya or pucha beta achhe se yaad karke batawo ki aakhir usdin huwa kya tha or minu dimaag per jor dekar sochne lagi or fir minu ne bataya jo bilkul sahi kadi thi wo naam “kamla”  ha didi yahi kah rahi thi ki kamla kisi ko nahi chodegi sarvnaash kar degi. Tab ramgopal ne bataya ji kal harigovind ke samne bhi yahi naam le rahi thi; or kal humne bhi wo bhayanak manjar dekha—chiri hui oorat ki khun se lathpath laash; fir sastri ji ne santi ko bulaya tab dekha santi ke gale me locket nahi tha puchne per ramgopal ne locket turant prastut kiya; locket tuta huwa tha. sastri ji ne tatkaal us locke ko dusre dhage me pirokar santi ko pahnaya or bole aaj hum yahi rukege.
Saam hone lagi adhiyara chitaknelaga kisi ne dhayaan nahi diya magar santi aagan me bethi thi,bilkul saant; ramgopal ki patni aawaaz laga rahi thi, beta santi chalo khane ki teyari karo magar wo sun nahi rahi thi. Sabhi nischinte the ki sastri ji ne locket pahina diya hai or fir sastri ji bhi yahi hai. Atha santi ki ma santi ke paas jakar use hilati hui boli magar agle hi pal santi ke ek joor daar dhakke se door ja giri; santi ki ma chillayi sastri ji dekhiye santi ko kya ho gaya. Santi teji se sir hilane lagi uske baal khule huye the aakhe fati hui thi jese abhi mano nikal kar baahar aajayegi. Sastri ji ne dekha santi ke gale me locket nahi tha; sastri ji ne bina samay gavaye pucha kon hai, is per santi jor-2 se hasne lagi or sir hilane lagi. Sastri ji ne yaha-waha dekha fir ek chadi  uthayi fir mantra ucharan karke santi ko mara. Chadi lagte hi santi karkash swar me chillane lagi. Sastri ji bole chal bata kyo aayi hai to santi kuch na boli tabhi sastri ji chillaye or chadi dobara marte, sastri ji door uchal gaye, sastri ji turant apna thela utha kar laye or usme se ek locket haath me pakad kar fir badhe santi ki taraf or ek chadi mari; santi chillayi magar is baar sastri ji ka kuch na kar saki. Sastri ji ne locket ka OMM samne karke pucha bata kon hai bata, wo sareer  sant tha jo santi  ka hta magar gulami kisi or ki kar raha tha. Sastri ji ne isbaar joor se chadi mari or pucha kon hai; tab ek bhari aawaaz aayi “kamla”. Fir sastri ji bole kyo aayi hai yaha is ghar me, kyo is sareer ko quid kiya hai. Tab wo hasi or boli aaye to tum log ho  me to saalo se yahi hu. Me tab se hu jab se tumhare is gaon ka namo nisaan nahi tha. Sastri ji chillaye muket kar is sareer ko or chali ja is ghar se; tab aawaaz aayi ye mera sareer hai mera ghar hai, me nahi jaugi jaoge to tum sab or yadi nahi gaye to sarvnaash kar dalugi. Yah sunte hi sastri ji ki aakho me khrodh ubalnelaga. Tab sastri ji uthe or santi ko locket pahna diya or fir dikha ek ajeeb sa manjar kuch dhuwe jesi aakriti jo isse pahle bhi dekh chuke the wahi aadhi kati hui chiri hui ladki ki laash jo locket pahine ke bavajude santi ke sareer se nahi ja rahi thi, wapas usi me sama rahi thi; magar locket ki divya roshni use door fekh rahi thi. Devatva ki sakti us per bhari pad rahi thi. Lekin jate-2 aawaaz aayi; kamla sarvnaash kar degi koi nahi bachega,sabko kaat dalugi, pura vaatavar uski hunkaar se  bhar gaya. Uski aawaaz gaon ke gahare sannate ko cheer rahi thi or aaju baju ke logo ki bheed ka kaaran bhi wahi thi. Sabhi is manjar ko dekh sun rahe the, tab sastri ji ne sabko ghar jane ko kaha or bataya ke kuch nahi huwa sab theek hai. Logo ke jate hi Mahesh  khet se loat aaya or chillaya bapu-2, ramgopal gola kya huwa. Tab Mahesh bola ki khet kal jitna sukha tha aaj usse dugna sukh gaya. Ramgopal bola sukh gaya se matlab tab Mahesh bola pichli baar jesa, jese jal gaya ho koi kaam ka nahi bacha; tab ramgopal ki chinta badh gai ye soch kar ki usbaar to khadi fasal sukhi thi magar isbaar to podhe kafi chote-2 hai; is baar aisa chalta raha to laagat bhi nahi niklegi or karza bhi chad jayega. Ramgopal ne sastri jo ko ye baat batayi, tab sastri ji gahre chinten me doob gaye or bole Mahesh pani to sahi tarike se laga lete ho isper  ramgopal bola ji ye iska 4tha saal hai pani lagane ka; pani to sahi lagata hai usme koi kami nahi hai ramgopal visvaas dikhate huwe bola. Fir ramgopal ne pichli baar ka kissa sunaya ki pichli baar bhi fasal sukhi thi jese jal gai ho, lekin katayi ka waqut tha isliye hamne jaldi-2 kaat li thi or jyada fasal ka hissa bach gaya tha, isliye laagat ke saath-2 thoda rupya bhi nikal aaya tha, magar is baar to abhi fasal bhi teyaar nahi hui or aise haalaat; sastri ji agar is baar fasal sukh gai to mera baal-2 karze me doob jayega. Tab sastri ji ne ramgopal ko nischint kiya or bole isse pahle jab 2baar sukha pada tha tab hamne tumhari madad ki thi ya nahi .Ramgopal bola ji sastri ji magar tab pura  gaon jhel raha tha or is baar aisa keval mere kheto ke saath ho raha hai. Tab sastri ji bole hum tumhari madad karege samajh lege is baar bhi  sukha pada hai. Fir sastri ji bole kal hum bhi chalege khet me; hum bhi to dekhe aakhir kya maajra hai, theek hai na ramgopal. Ramgopal ne ha bolkar sir hila diya or bola aapne to mere man ki sudh le li. Sastri ji ne sone se pahle pure ghar ka muaayna kiya, aagan ka bhi kiya or samajh gaye; is baar sastri ji ne mantro ki sakti se pata laga liya ki gadbad to hai isliye sastri ji ne ghar me jagah-2  kuch OMM ke locket bandh diye. Magar sastri ji ko koi sakti badhit kar rahi thi ye pata lagane me ki ghar ke kis jagah gadbad hai or kya hai. Sastri ji ne sone se pahle gajah-2 deepak jalwadiye or kaha subah se pahle mat bhujana inhe raat bhar jalne dena. Magar aisa sambhav nahi huwa; aagan ke tulsi mandir me or uske charo taraf ke diye jalte hi bhuj gaye or bhujhe huwe dhuye se ek aakriti bahi wahi aadhi chiri hui khun se lathpath ladki  or fir ek dam se kahi bileen ho gai. Ye manjar keval sastri  ji ki aakho ne dekha. Fir sastri ji tulsi mandir ki taraf badhe ek OMM  ka locket leke magar diye ke ghero me  pravesh karte hi sastri ji ko aisa laga mano dam ghut raha ho. Sastri ji us ghere se turant nikle or samajh gaye jo bhi hai wo bahut  balsaali hai is jagah shadharan us per vijay nahi payi ja sakti, atha sab chode kar sastri ji subah ka intzaar karne lage. Aaj aisa huwa ki sastri ji ko chode kar sabhi sho rahe the. Subah hote hi ramgopal ne gada bell tayar kiya or fir sastri ji, ramgopal or Mahesh theeno khet ki taraf badh gaye; 1-2 ghante lagataar belo ke chalne ke baad khet aa gaye, khet yahi koi 3-4km the. Lekin khet ka nazara dekh kar sabki nigahe fati rah gai or ramgopal ki jaan sukh gai. Kal jitna Mahesh ne btaya tha usse dugni fasal sukh gai thi mano kisi ne khet me aag lagayi ho magar aag lagane per kheto ki mitti me nisaan aa jate hai magar yaha mitti per koi nisaan nahi hai. Or khet ki fasal jhulsi hui hai. Ramgopal ghutno ke bal gir gaya kyoki aadhe se bhi jyada khet sukh  gaya tha. Ab to sastri ji ki bhi samajh me nahi  aaraha tha ki maazra kya hai. Sastri ji ne fir bhi ramgopal  se himmat se kaam lene ko kaha fir sastri ji ne oro ke khet dekhe, sabhi ke kheto me podhe tezi se ug rahe the. Fir sastri ji ne Mahesh se kaha tum pani lagawo me jab tak hawan ki teyari karta hu.ye kah kar sastri ji ne apne thele me se hawan ki saamagri nikali or fir pucha Mahesh sukha kis kone se ho raha hai. Tab Mahesh ne padh ke taraf wala hissa bataya fir sastri ji ne yagh kundh nikaal kar aam ki lakdi sajayi aag lagayi or jese hi mantra uccharan kar pahli aahuti di ki jalti aag acchanak bhuj gai or usse nikalte huwe dhuwe ne ek aakriti li wahi chiri hui khun se lathpath chahra or fir wo chahra hawa me kahi kho gaya. Sastri ji ke chahre me chinta ki lakire dikh rahi thi. Ek pal gawaye bina sastri ji bole ramgopal me abhi ja raha hu mujhe hanuman ji ke mandir jana hai magar chinta mat karna saam tak aa jauga . lagbhag aadha khet sukh  chukka tha or sastri ji bhi chale gaye the or yagh bhi pura nahi huwa. Ye sari bate kisi anhoni ki ore issara kar rahi thi. Ramgopal samajh gaye isbaar khet se umeed karni bekaar hai. Ab to keval orcharikta hi bachi hai atha dono baap bête pani lagane lage. Udhar pahaad gaon or ramgopal ke gaon ke beech ek pahaad hai jisme hanuman ji ka mandir hai waha per ek sadhu baba rahte hai unke pure parivaar ne aise hi jeevan yapan karke hanuman ji ke sewa ki hai; 50 saal ke baad apne ghar ko tayaag kar wo is mandir me rahte hai unke anusaar ye grahaust jivan ke baad ka jevan hai wo bahut budhe ho chuke hai unki aayu 95 varas ki hai. Is mandir ki khasiyat hai yaha per log kahi se koi bhi mannat mage or  yahi ye kahe ke pura ho jane per hum darsan ko jarur aayege to yaha ki riti hai is mandir me us vyakti ko jiski muraad puri hai hai ladduoo ka bhog lagana padta hai. Is mandir me pahaad ke charo taraf saal me 2 baar mela lagta hai ek garmiyo me or ek sardiyo me. In dono moko per aas pass ke sare gavo ki bheed  yaha per ikhattha hoti hai. Is mandir ki apni ek mahima hai,apna ek gourav hai. Pahaad ki choti per hanuman ji ka mandir hai or paan batasa yaha per hanuman ji ko chadta hai magar in sab baato ka zikra kyo kiya ja raha hai ? sastri ji bhi hanuman ji ke bhaket hai atha sastri ji yaha aa rahe hai. Magar kya sastri ji mahaz darsan ko aa rahe hai ? sastri ji ne aate hi mandir ke bagal me kuwe se ek balti pani nikaal kar haat per dhoye fir paan batasa khareed kar hanuman ji ko chadaya or fir sastri ji ke kadam badh gaye pahaad ki niche ki taraf bahi kutiya ki taraf jisme budhe baba rahte hai. Sastri ji ne pahuchte hi baba ke pair chuye. Babaji bole are ramdas(sastri ji ka naam)  aawo bhai kese aana huwa. Haal chal kese hai ye puch kar baba ji ne apne sisyo ko jalpaan lane ko kaha; unki aagya ka turant palan huwa or ek palet me prasaad aaya laddu,batase gari aadi. Baba bole loog yahi chadhate hai or bhagwaan ki mahima hamara issi me gujara chal jata hai. Tab sastri ji ne prasaad grahan kiya fir bolne prarambha kiya—baba ek bahut badi samasya aan padi hai fir ramgopal ke ghar wali saari baate baba ko bata di or fir aaj subah ki khet wali ghatna bhi kah sunayi. Abhi bhi baba ke samajh me nahi aa raha tha magar fir sastri ji bole ke wo  apne aap ko kamla kah rahi thai or ye naam sunte hi baba bhi ek pal ke liye aawaak rah gaye or bole kya naam bataya; sastri ji bole “kamla”. Fir baba bole  wa prabhu teri lila bhi apram paar hai fir bole ramdas jaanna chahte ho kamla kon hai to tumne bataya ki wo kah rahi thi ki ye ghar uska hai wo jhoot nahi kah rahi thi wo ramgopal ke pahle se us jagah me hai us jameen ki maalkin hai or fir baba ek kahani kahte chale gaye.----------
Baat us samay ki hai jab meri umar mahag 16 saal ki thi; hamare baba us samay is mandir ki dekh rekh kiya karte the  or us samay jaha per ramgopal ka gaon basa hai waha per thakuro ki gadhi(mahal) thi, ek bahut bada kila sat ha. Door-2 ke gavo me unsa rahish thakur na tha; sara parivaar milkar rahta tha us haweli me magar us khandaan ke bade thakur ke chote ladke to ek niche jaat wali ladki se pyar ho gaya. Dono ko maalum tha ki saadi ke liye koi parivaar nahi manega or yadi  thakur ko pata chal gaya to jaan bhi ja sakti hai. Isliye dono ne bhag kar sadi karne ki sochi. Dono bhagne me safal rahe dono ne sadi bhi kar li or fir 4 mahine tak dono ka kuch pata nahi pada. Magar ek din thakur ko khabar lag hi gai or dono ko baat karne ke liye gaon aane ko kaha. Thakur ke chote ladke ka naam vijay tha.  Vijay hi kya karta uska pata ye log pa chuke the atha vijay mana karta to baat bigad sakti thi. Vijay or uski patni kamla sahar me bas to gaye the magar bhool gaye the ki duniya bahut choti hai. Or uske pita ki pahuch har jagah hai. Atha vijay or kamla teyaar ho gaye aane ko. Raato raat unhe haweli laya gaya bas itna hi mujhe malum hai fir uske baad us haweli me kuch achha nahi huwa. Vijay thakur pagal ho gaye or aesi khabar udi thi wo bhi kuch logo ko maalum thi ki kamla ko unhone maar diya fir kamla ki laash ka koi pata bhi nahi pada.
Kamla ko thakur ne maar diya ye aap daave se kese kah sakte hai sastri ji bole. Tab baba bole mene ye nahi kaha ki thakur ne hi kamla ko maara ha aisa ho sakta hai ki haweli me hi kisi ne use maara; wo kon hai ye to pata nahi pada lekin uske baad vijay thakur ki dimagi halat kharaab ho gai atha hamare baba ko bulaya gaya vijay ko dekhne ke liye or “yagh” karwaya santi yagh jo aksar kisi ke marne ke baad aatma ki santi ke liye kiya jata hai wo bhi uski jiski moot kudrati na ho; hadse se mana nahi kiya ja sakta, aisa ho sakta hai ke kamla ke saath koi hadsa huwa ho magar mene khud or kai gaon waalo ne kamla or vijay ko sakushal or khushaal haweli me dhakhil hote dekha tha or fir haweli me hadsa ho jaye iske kam hi moke hai or fir raato raat vijay thakur ka paagal ho jana isse sabhi ko samajh me aagaya magar sab chup the darte the bade thakur se uske naam se, uske aadmiyo se. fir uske baad sab kuch haalaat se bahar ho gaya. Parivaar ke sabhi mard ek hi tarah ki mooth ka sikaar ho rahe the jese kudrat ka kahar unper tut pada ho; dekhte hi dekhte pure khandaan ka sarvnaash ho gaya baba ruke. Sastri ji ke man me bhawre uth rahi the sawalo ke; sastri ji bole baba aapne kaha tha sabhi thakur ek hi tarah ki mout ka sikaar ho rahe the; kis tarah ki mout thi or vijay thakur ki  bhi mout hau kya ?  nahi-2 baba dabe swar me bole vijay ko chod kar sabhi mare gaye kyoki vijay to pahle hi mar chukka  tha. Kese baba sastri ji bole. Vijay paagal ho gaya tha, usse bahut dikhlaya har pooja karwayi, bedh hakimo ko dikhlaya magar wo theek nahi huwa or ek din gaon ke taalaab me uski laash mili. Or uske baad haweli ke har thakur ki mout hone lagi, or sabhi kat kar mar rahe the, jese lakdi ko cheer dete hai theek usi tarah kyoki ek laash mene bhi dekhi thi wo hadsa me kabhi nahi bhool sakta. Thakur ka saala uski mout gaaye –bhesh ke liye ghaas  or katran kaatne wale maseen se hui or uski laash bhi 2(do) tukdo me pai gai. Chiri hui laash tab me samajh gaya tha ki jarur kuch unhoni hui hai. Iske baad gaon me ek bhisad baadh or puri haweli usme bah gai pura gaon naste ho gaya. Thakur khandaan ke sabhi vaaris khatam ho gaye isliye saari orrte apne-2 maayke chali gai. Haweli me koi bhi rahne wala nahi bacha tha or baadh haweli ki har ieet or deewaal ko nigal gai. Tab sastri ji bole baba haweli itni badi thi ki kai ghar us ki jameen me ban sakte the fir ramgopal ke ghar me hi taklife kyo?
Tab baba bole ho sakta hai kamla ke sareer ko jameen me kahi chipaya gaya ho or wo jmeen ka tukda ramgopal ke hatho me laga ho jis per uska ghar hai. Kyoki tab to koi laash nahi mili thi magar baba ke ab samajh me nahi aa raha tha ki yadi kamla ki aatma hai to wo 50 saal baad kyo aayi hai; aakhir wo kya chahti hai. Kuch sawaal to baba ke bhi man me the magar unke jawaab kisi ke bhi paas nahi the. Ye to mahaj baba ki soch thi ki tab jo kamla thi sayad ye wahi ho; majboot tor per to kuch bhi nahi kaha ja sakta tha or ye baat sastri ji bhi jante the. Fir sastri ji bole baba mujhe ramgopal ke khet me bhi mujhe wahi parchai dikhi thi uska us khet se kya lena dena aap ke mutabik to lagta hai usse haweli me hi maara gaya. Fir baba bole ramgopal ka khet kaha per hai; tab sastri ji ne khet ki istithi batayi or ab pakka yakeen ho gaya baba ko ke ye wahi kamla hai; fir baba ne bataya—jo jagah tum bata rahe ho us per kabhi kamla ka ghar tha or khet the; khet ke beechobeech ghar tha magar kamla ke vijay thakur se saadi ki baat malum padte hi kamla ka  parivaar raato raat kahi gaayab ho gaya, sayad is liye ki unhe pata tha vijay thakur kamla se pyar karte hai or dono bhaag kar sadi karne wale hai.
Magar abhi bhi sastri ji ki ye samajh me nahi aa raha tha ki chalo ghar bhi tha fir bhi  khet kyo sukh  rahe hai. Kuch sawalo ke jawaab liye sastri ji ramgopal ke paas loat rahe the or kuch sawaal ab bhi sawaal the. Fir kya tha sastru  ji lote or aane wale mangal ko badi pooja rakhne ko kaha or saath hi Mahesh or ramgopal ko aaswaasan diya ki koi bhi santi ko janjero se nahi pitega koi bhi baal nahi khichega. Raat hote hi sastri ji ne pure ghar me diye jalaye taaki prakash ki satta kaayam rahe. Sastri ji jante hai ki bhoot wa aatmaye andhere me hi niwaash karti hai; magar aaj fir tulsi mandir ke charo or ke diye bhujh gaye or santi joor-2 se hasne lagi. Sastri ji kuch samajh pate isse pahle hi santi ka sareer hawa me terne laga; sastri ji ramgopal ka parivaar is nazaare ko dangh hokar dekh rahe the or fir wo terta sareer jameen per aakar khada ho gaya or uski nazre tik gai ramgopal per or fir achhanak aakhe chamki or pass me padi kulhadi hawa me terne lagi or un aakho ka issara pate hi ramgopal ke taraf badhi magar isse pahle kulhadi ramgopal ka kuch kare sastri ji beech me aa gaye; kulhadi ek pal ke liye rukhi magar agle hi pal kulhadi ser ke upper aayi or sastri ji per chali. Sastri ji ne turant apne aap ko bachaya or apne jhole me se kuch bhasam nikali or santi ki taraf mantra padhkar uchaal di. Santi thoda kapi magar agle hi pal ghayal serni ki tarah chillayi or sabhi ko aadhe sareer me dekhi jese kisi ne cheer diya ho. Ab tak to keval parchayi hi dikhti thi ya fir aadhi lash magar is baar santi ko aisa dekh sabhi dang rah gaye. Ramgopal ki patni ki wahi cheekh nikal gai or wo  wahi behosh hokar gir gai. Fir santi ke muh se aawaaz nikhli jo santi ki nahi thi. Sastri tu door ho ja mere beech me mat aa warna tu bhi jaan se jayega, tujhe cheer ke rakh dugi, kaat dalugi, maar dalugi. Sastri ji chillakar bole mana ke tere saath julm huwa magar ab tu kisi or ke sareer me kabja karke apni manmani nahi kar sakti teri bhalayi issi me hai ke tu abhi yaha se chali ja hamesa ke liye. Santi hasi or kulhadi ramgopal ke taraf badhi; ramgopal bahar ki taraf bhaga or kulhadi ne ramgopal ke pero me prahaar kiya; ramgopal wahi gir gaya fir kulhadi ramgopal ke sir ke upper madrayi magar kulhadi chale usse pahle hi sastri ji ne OMM ka locket santi ke sareer per de mara or agle hi pal cheekh nikhli or santi jameen per gir gai or waha kulhadi ramgopal ke upper magar bejaan bina takat ki isliye jyada choat nahi aayi.
Sastri ji ke samajh me nahi aa raha tha ki kamla aadhi kyo dikhti hai puri kyo nahi? Wo ramgopal ko kyo marna chahti hai; or khet kyo sukhte ja rahe hai, kher sastri ji ne ramgopal ko uthaya fir marhum patti ki; Mahesh bhi sastri ji ki madad kar raha tha. Sastri ji thaan khuke the ke kal is kahani ka anth kar dege or sastri ji ko pakka yakeen tha ki kal pooja me kamla  bighn jarur dalegi or ramgopal per saayad fir se hamla kare isliye sastri ji ne ek locket turant ramgopal ko pahnaya or bole isse apne sareer se alag mat karna. Subah hote hi sastri ji ne pooja suru kar di or mandir wale baba ko kisi ko lane bheja. Baba aagaye the or unke saath kuch or hanuman bhakat jo baba ke sisya the aaye.
Sastri ji ne agni prajwalit ki or baba ko bulaya or samne santi ko or sabhi parivaar walo ko bitha kar yagh karne lage; hawan kundh ki agni bhujne si lagi magar baba ne hawan kundh sabhala or agni ko bhujhne nahi diya. Baba samajh gaye the ki sastri  ne unhe kyo bulaya hai; we apni bhumika samajh gaye the. Sastri ji ne majduro ko jo sastri ji ne pahle se bulakar rakhe the ko aadesh diya khodo tulsi mandir ko. Pahle to majdoor ghabdaye magar baba ke kahne per aage badhe or jese hi geti-faruwa mara ki sabhi jameen se lagte hi chipak gaye; majduro ne puri takat laga di magar un se ozzaar hil tak nahi rahe the. Idhar santi chatpatane lagi thi or use kabu karna muskil ho raha tha. Tab sastri ji ne baba ki taraf dekha or fir baba ne majduro ko piche hatne ko kaha or apne sisyo ko bulaya or issara kiya jameen per lage huwe ozzaaro ki ore or agle hi pal unsisyo ne khodne chalu kar diya. Or udhar baba ne santi ko apne ram pash(ram naam ka kapda ek chadar ki tarah) me bandh diya. Iddhar khodne walo ko har waar per muskil ho rahi thi magar sabhi hanuman or ram ke nare laga rahe the or sisyo ka manobal badha rahe the; idhar baba aakhe mundhe nirantar ram naam ki mala jap rahe the or sastri ji pure parivaar se  aahuti dalwa rahe the. Dekhte hi dekhte sisyo ne kafi gahra gaddha kar diya or fir khannnnnnn ki aawaaz se sabhi ke kaan khade ho gaye. Ab sabhi sisya keval hatho se mitti hata rahe the or fir ek sisya chillaya baba dekhiye yaha kulhadi mili hai. Sastri ji chillaye or mati hatawo. Or mati hatane per unhe kuch kapde me lipta sa dikha, ab sabhi ki aakhe usi or gadh gai; dekhte hi dekhte kuch kapde me lipta huwa nikla; sayad yahi hai sari musibat ki jad “kamla ki laash”ab sab samajh gaye the ki kamla ko marker yaha dafna diya tha or kamla ko ab tak mukti nahi mili thi. idhar santi ki aakhe fael rahi thi or uski hasi chutne lagi magar baba ne santi ko balo se pakad kar rakha. Udhar sastri ji ne kapda khola  magar ye kya; kapde ke andar laash to thi magar aadhi bilkul chiri hui. Sastri ji ko samajh ne me deair na lagi ki kamla ki laash aadhi kyo dikhti hai. Magar aise to kamla ki mukti asambhav thi jab tak puri laash nahi milti; laash kya ab to bas kankaal hi tha.  sareer ko pura karke bidhivat  daahsanskaar karna tha tabhi sastri ji ke mathe per sikudan si padi or sastri ji ne Mahesh ko bulaya or kaha khet me fasal kaha se sukh na suru hai thi Mahesh ne bataya kone me pedh ke pass se.  sastri ji ne kotuhal bhari nighaho se baba ki taraf dekha or baba ne issare me aaseervaad dekar sastri ko jane ke liye kaha or saath me apne 2 sisyo ko rok kar sabhi ko ramdaas ke saath bhej diya. Kisi ke kuch samajh me nahi aa raha tah magar sastri jo or baba ke sab kuch samajh me aa gaya tha.sastri ji ne baba ke sisyo se kapde me lipte kankaal ko saath me le chalne ko kaha or idhar baba ne santi se kuch sawaal kiye—kon hai bol kon hai or tabhi karkash swar me aawaaz aayi “kamla”  kyo aayi hai itne salo baad to kamla boli is sareer per ho rahe atyachar ke kaaran. Baba ne fir  pucha thakur ke khandaan ka sarvnaash  kisne kiya; kamla hasi or boli mene kiya; kya huwa tha us raat jis raat haweli me tu vijay ke saath aayi thi. Vijay ka naam sunte hi santi me samayi kamla rone lagi or fir usne batayi wo sacchai jisse sabhi ki ruh kaap uthi kitna dard saha usne--------
 Us raat hum haweli aa gaye dare sahme huye. Fir bade thakur ke samne pahuche, mujhe dekhte hi bade thakur bole to ye hai wo chokri jiske kaarna tune humse bagavat ki, kya hai is chokri me isse sundar to hamari rakhele hai.vijay bola bas kijiye pitaji agar aap hame apna nahi sakte to na sahi hame nahi chahiye aap ki sampatti hum apna jeevan basar kar lege. Bade thakur bole iska jaadu tere sar chad kar bool raha hai, kya kar diya isne tujper. Isse pahle to hamare saamne aane se bhi darta tha magar aaj is 2(do) take ki chokri ke kaaran apne baap se bagawat per utaaru hai. Isse to me khothi me nanga naach nachauga. Tabhi vijay bola bas kijiye pitaji aap apni sari hade paar kar gaye hai. Aap ko maan maryada ka koi khayaal nahi raha ab. Tab thakur bole maan maryada ki baat karta hai; wo to usi din mitti me mil gai thi jis din tune is neech ladki se saadi kit hi; tu to chala gaya magar jamane ki badnaami or thu-2 to hame jhelni padi or tu iske saath khusiya mana raha hai. Tu hamara khun hai tere liye hamari bahe ab bhi khuli hai or rahi is ladki ki baat to thakuro ke liye ye koi badi baat nahi hai kisi ke saath sona rangragiya manana; hum samajh lege ki tu kai raat iske saath bita kar waapas aa gaya. Tab vijay chillaya thakur dinanaath chohaan agar tum mere baap na hote yadi mera tumse khun ka rista na nota, to aisi baat bolne per me tumhari jawaan kheech leta ab me is haweli me ek pal bhi nahi rah sakta yah kah kar vijay ne kamla ka haath pakda or haweli ke baahar teji se jane laga magar bade thakur ke ek isare per uske aadmi vijay ke samne diwaal bankar khade ho gaye. Bade thakur ke chahre per khrodh ki lalima thi; thakukr ke jabde michte chale gaye or fir bole aaj tune is neech ke kaaran apne pita ka naam liya dekh apne bade bhai ko uski jawaan aaj tak mere saamne nahi khuli; meri izzat ki khatir 15 logo ko maar chukka hai or aaj tune bhi wahi gustakhi ki hai or iska kaaran ye ladki hai. Or  fir thakur chillaya alag karo dono ko or fir thakur ke aadesh per uske bade bête or sale me mujhe aari or kulhadi se cheer kar rakh diya; 2(do) tukde kar ke  diye mere. Ye kahani sunkar baba samet sabhi log dang rah gaye. Fir kya huwa kamla fir kya huwa ab baba ke sabdo me kamla ke prati sahanubhuti thi.
Kamla rote huwe boli------- vijay ke saamne mere 2(do) tukde kar diye gaye or ye sadma vijay sah nahi paya or paagal ho gaya kyoki hum dono ek dusre se bahut pyar karte the or ek dusre ke bina nahi rah sakte the. Vijay kisi se kah na de isliye pahle use bandh kar; qued karke rakha gaya or fir yakeen hone per ki wo pagal ho chukka hai kisi se kahne to kya baat karne ke laayak nahi bacha tab use chode diya. Fir tumhare saath kya kiya tumhare sareer ka. Kamla boli us raat thakur mere do tukde karne ke baad kah raha tha –neech kahi ki naali me rahne wali mahlo ke khawaab  dekh rahi thi. Sapna to pura karuga magar na jite ji na marker is haweli ka hissa banegi. Banegi to aadhi maalkin. Or fir bade thakur ne mere ek hisse ko haweli me or ek mere khet me dhafan karwa diya. Or khet me mujhe dafan karte waqut pata pada ki mere ma baap ko bhi thakur ne jinda chita me jhook diya or khabar uswa di ki ye gaon chod kar bhag gaye. Me fir bhi sant thi magar vijay ke marte hi meri aatma pratishod ke liye tadaf uthi or bhatakne lagi. Fir kya huwa baba karuna me bhar kar bole tab santi se sareer me samahit kamla boli fir ek din moka pate hi mene thakur dinanaath ko maar diya. Thakur raat me soya magar subah utha nahi; mene usse uske bistar samet do(2) bhago me faad diya,cheer ke rakh diya. Fir bade thakur ke bade bête ko mene ko mene tadfa-2 kar maar diya; uske dono tange alag-2 rassi me bandh kar ghodho ke jariye cheer dala or sabko laga koi hadsa huwa hai or fir thakur ke sale ki mout kese hui ye to aap bhi jante hai. Idhar sastri ji khet me pahuch chuke the or pedh ke niche ka hissa teji se khudwane lage or fir 1ghante ki masakkat ke baad ek kapda lipda sa mila use badi saavdhani purvak sastri ji ne nikala or kriya-karam ki teyari karne lage taki kamla ki aatma ko mukti mil jaye or wo punya lokh ko prapt ho jaye. Idhar baba kamla se puch rahe the tumhare aadhe sareer ko thakur ne khet me kyo dafanwaya. Kamla kahne lagi taaki me ye na bhulu ki me neech hu. Mujhe marker bhi puri haweli na pane dene ki baat thakur ne kahi thi isliye mera aadha sareer haweli me or aadha khet me dafanwaya. Me marker bhi puri tarah se apne sasuraal ki na ho pai. Mere do(2) tukde karke thakur ne na to mujhe  mayke ka choda na hi sasuraal ka. Mene dono gajah per atyaachaar dekhe. Apne pati ki laash dekhi  or apne mata pita ki chita ki raakh. Fir baba ne pucha is sareer me kyo aayi kamla; ek orat hokar orat per atyaachaar. Tab kamla chillayi mera patishod to khatam ho gaya tha thakur ke khandaan ka sarvnaash karke magar ek baar fir mere aakho ke samne ek orat per atyaachaar ho raha tha; mujse bardaste nahi huwa isliye iski madad ke liye iske sareer me aagai; mene sise koi nuksaan nahi pahuchaya. Tab baba bole magar tum jise marna chahti ho wo is ladki ka pita hai or har pita ko apne bachche ke prati kartavya nirvaah karne hote hai isliye ramgopal ne use chinta me kuch kaha ya mara hoga lekin iska ye matlat bilkul bhi nahi ki wo kabhi bhi chahega ki uski beti ko kisi bhi tarah ka nukhsaan pahuche.
Idhar sastri ji ne chita per kamla ka parthiv sareer rakhkar chita agni di or udhar kamla santi ke sareer se alag hone lagi. Baba bole kamla tum per bahut atyaachaar huye hai; kai saalo tak tumhe bhatkna pada hai, magar ab nahi ,tum jaoo ab tum prêt yoni se mukth ho. Yadi tumhari koi ichha ho to kah jaoo. Tab kamla ka dhund mai pura sareer dikha or  wo binate kar rahi thi; ho sake to  santi per atyaachaar mat karna. Baba bi dono haath utha kar kamla ko aaseesh de rahe the.

Written by----AMIT KUMAR GUPTA
 Email  ------ power_amitk@yahoo.co
Contact no.-----91-9039884725, 91-8097340818

1 टिप्पणी:

Pandit Ji Rakesh M. joshi ने कहा…

bahut achi story ha iske uper to film banani chahiye our wo bhi ganv ki mahol me